Harf Shirin Hain Magar Lahja Hai Nashtar Jaisa, Urdu Ghazal By Shareef Ahmad Qureshi

Harf Shirin Hain Magar Lahja Hai Nashtar Jaisa is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shareef Ahmad Qureshi. Harf Shirin Hain Magar Lahja Hai Nashtar Jaisa comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Harf Shirin Hain Magar Lahja Hai Nashtar Jaisa on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

حرف شیریں ہیں مگر لہجہ ہے نشتر جیسا

شریف احمد قریشی

حرف شیریں ہیں مگر لہجہ ہے نشتر جیسا

وضع پھولوں سی ہے کردار ہے پتھر جیسا

جس پہ ٹھہری ہے نظر میری بڑی مشکل سے

کاش اندر سے بھی وہ شخص ہو باہر جیسا

روح میں ہو چکا تحلیل مرا ہر عنصر

جسم کیا ہے فقط اک ظاہری پیکر جیسا

نرم ایسا ہے کہ ملتے ہی پگھل جاتا ہے

اور چھو لیجے تو ہو جائے ہے پتھر جیسا

تجھ میں ندیوں کی طرح موجیں نہ ہوں گی اک دن

میں بھی ہو جاؤں گا خاموش سمندر جیسا

لاکھ جھوٹا سہی معبود تو بن جاتا ہے

جس کی تقدیر میں فن کار ہو آذر جیسا

شور ندیوں کی طرح وہ کبھی کرتے ہی نہیں

حوصلہ رکھتے ہیں جو لوگ سمندر جیسا

وقت کا کوئی خدا اس کو جھکا سکتا نہیں

خون میں جس کے ہو جوہر کوئی جوہر جیسا

شریف احمد قریشی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Harf Shirin Hain Magar Lahja Hai Nashtar Jaisa

Shareef Ahmad Qureshi

harf shirin hain magar lahja hai nashtar jaisa
waza phulon si hai kirdar hai patthar jaisa

jis pe Thahri hai nazar meri baDi mushkil se
kash andar se bhi wo shaKHs ho bahar jaisa

ruh mein ho chuka tahlil mera har unsur
jism kya hai faqat ek zahiri paikar jaisa

narm aisa hai ki milte hi pighal jata hai
aur chhu lije to ho jae hai patthar jaisa

tujh mein nadiyon ki tarah maujen na hongi ek din
main bhi ho jaunga KHamosh samundar jaisa

lakh jhuTa sahi mabud to ban jata hai
jis ki taqdir mein fankar ho aazar jaisa

shor nadiyon ki tarah wo kabhi karte hi nahin
hausla rakhte hain jo log samundar jaisa

waqt ka koi KHuda us ko jhuka sakta nahin
KHun mein jis ke ho jauhar koi jauhar jaisa

(486) ووٹ وصول ہوئے

You can read Harf Shirin Hain Magar Lahja Hai Nashtar Jaisa written by Shareef Ahmad Qureshi at UrduPoint. Harf Shirin Hain Magar Lahja Hai Nashtar Jaisa is one of the masterpieces written by Shareef Ahmad Qureshi. You can also find the complete poetry collection of Shareef Ahmad Qureshi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shareef Ahmad Qureshi' above.

Harf Shirin Hain Magar Lahja Hai Nashtar Jaisa is a widely read Urdu Ghazal. If you like Harf Shirin Hain Magar Lahja Hai Nashtar Jaisa, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.