Utar Raha Tha Samundar Sarab Ke Andar, Urdu Ghazal By Shariq Adeel

Utar Raha Tha Samundar Sarab Ke Andar is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shariq Adeel. Utar Raha Tha Samundar Sarab Ke Andar comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Utar Raha Tha Samundar Sarab Ke Andar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اتر رہا تھا سمندر سراب کے اندر

شارق عدیل

اتر رہا تھا سمندر سراب کے اندر

بچھڑ کے خود سے ملا جب میں خواب کے اندر

رگیں کھنچیں تو بدن خواب کی طرح ٹوٹا

خلا کا زعم بھرا تھا حباب کے اندر

میں ماہ و سال کا کب تک حساب لکھتا رہوں

اسیر پوری صدی ہے عذاب کے اندر

نظر کو فیض ملا تو لبوں پہ مہر لگی

فرات یوں بھی ملی ہے سراب کے اندر

عجب جنون مری انگلیوں میں جاگا ہے

کہ خون ڈھونڈ رہی ہیں گلاب کے اندر

شارق عدیل

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Utar Raha Tha Samundar Sarab Ke Andar

Shariq Adeel

utar raha tha samundar sarab ke andar
bichhaD ke KHud se mila jab main KHwab ke andar

ragen khinchin to badan KHwab ki tarah TuTa
KHala ka zoam bhara tha habab ke andar

main mah-o-sal ka kab tak hisab likhta rahun
asir puri sadi hai azab ke andar

nazar ko faiz mila to labon pe mohr lagi
furaat yun bhi mili hai sarab ke andar

ajab junun meri ungliyon mein jaga hai
ki KHun DhunD rahi hain gulab ke andar

(330) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Utar Raha Tha Samundar Sarab Ke Andar written by Shariq Adeel at UrduPoint. Utar Raha Tha Samundar Sarab Ke Andar is one of the masterpieces written by Shariq Adeel. You can also find the complete poetry collection of Shariq Adeel by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shariq Adeel' above.

Utar Raha Tha Samundar Sarab Ke Andar is a widely read Urdu Ghazal. If you like Utar Raha Tha Samundar Sarab Ke Andar, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.