Ye Kaisi Jang Hai, Urdu Nazam By Shariq Adeel

Ye Kaisi Jang Hai is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Shariq Adeel. Ye Kaisi Jang Hai comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read Ye Kaisi Jang Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ کیسی جنگ ہے

شارق عدیل

یہ کیسی جنگ ہے جو اپنی منفعت کے لئے

غریب ملکوں کی آزادیوں کو چھینتی ہے

یہ کیسی جنگ ہے جس میں مقابلے کے بغیر

نشانہ سادھ کے گولی چلائی جاتی ہے

یہ کیسی جنگ ہے جس میں اسیر لوگوں پر

اذیتوں کے لئے کتے چھوڑے جاتے ہیں

یہ کیسی جنگ ہے جس میں بموں کی یورش سے

سماعتیں بھی خدا کی پناہ چاہتی ہیں

یہ کیسی جنگ ہے شہروں کی تنگ گلیاں بھی

بھڑکتے شعلوں سے روشن دکھائی دیتی ہیں

یہ کیسی جنگ ہے جس میں وفا پرستوں کی

ہلاکتوں کی خبر بھی اڑائی جاتی ہے

چلو یہ پوچھیں تباہی کے کاشت کاروں سے

بنام امن کہاں تک لہو بہاؤ گے

نکل کے دیکھو کبھی ایٹمی حصاروں سے

تمام عالم انسانیت ہے شرمندہ

یہ سوچو خون کے سوداگرو ذرا سوچو

لہو کی ندیاں بہیں گی اگر زمینوں پر

تمہاری کاشت کے پر ہول منظروں کو لیے

تمہارے ملکوں کے شہروں کو بھی ڈبو دیں گے

ہر ایک ظلم تمہیں اپنا یاد آئے گا

پناہ ڈھونڈو گے تم رات کے اندھیروں میں

مگر وہ رات بھی شعلوں میں ڈوب جائے گی

یہ وقت تم پہ قیامت سے کم نہیں ہوگا

تمہارے کرب کا ہم کو بھی غم نہیں ہوگا

شارق عدیل

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Kaisi Jang Hai

Shariq Adeel

ye kaisi jang hai jo apni manfat ke liye
gharib mulkon ki aazadiyon ko chhinti hai

ye kaisi jang hai jis mein muqable ke baghair
nishana sadh ke goli chalai jati hai

ye kaisi jang hai jis mein asir logon par
aziyyaton ke liye kutte chhoDe jate hain

ye kaisi jang hai jis mein bamon ki yurish se
samaaten bhi KHuda ki panah chahti hain

ye kaisi jang hai shahron ki tang galiyan bhi
bhaDakte shoalon se raushan dikhai deti hain

ye kaisi jang hai jis mein wafa-paraston ki
halakaton ki KHabar bhi uDai jati hai

chalo ye puchhen tabahi ke kasht-karon se
ba-nam-e-amn kahan tak lahu bahaoge

nikal ke dekho kabhi atomi hisaron se
tamam aalam-e-insaniyat hai sharminda

ye socho KHun ke saudagaro zara socho
lahu ki nadiyan bahengi agar zaminon par

tumhaari kasht ke pur-haul manzaron ko liye
tumhaare mulkon ke shahron ko bhi Dubo denge

har ek zulm tumhein apna yaad aaega
panah DhunDoge tum raat ke andheron mein

magar wo raat bhi shoalon mein Dub jaegi
ye waqt tum pe qayamat se kam nahin hoga

tumhaare karb ka hum ko bhi gham nahin hoga

(424) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Kaisi Jang Hai written by Shariq Adeel at UrduPoint. Ye Kaisi Jang Hai is one of the masterpieces written by Shariq Adeel. You can also find the complete poetry collection of Shariq Adeel by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shariq Adeel' above.

Ye Kaisi Jang Hai is a widely read Urdu Nazam. If you like Ye Kaisi Jang Hai, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.