Sach Hai Inko Mujhse Kya Aur Mere Afsane Se Kya, Urdu Ghazal By Shaukat Thanvi

Sach Hai Inko Mujhse Kya Aur Mere Afsane Se Kya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shaukat Thanvi. Sach Hai Inko Mujhse Kya Aur Mere Afsane Se Kya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sach Hai Inko Mujhse Kya Aur Mere Afsane Se Kya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سچ ہے ان کو مجھ سے کیا اور میرے افسانے سے کیا

شوکت تھانوی

سچ ہے ان کو مجھ سے کیا اور میرے افسانے سے کیا

کر دیا دیوانہ تو اب کام دیوانے سے کیا

عشق کا عالم جدا ہے حسن کی دنیا جدا

مجھ کو آبادی سے کیا اور تم کو ویرانے سے کیا

میری حیرت اس طرف ہے تیری غفلت اس طرف

دیکھیے دیوانہ اب کہتا ہے دیوانے سے کیا

شمع کی لو ہے تو اس کا رخ بھی ہے سوئے فلک

روشنی اڑ جائے گی میرے سیہ خانے سے کیا

پھر حرم میں ہو رہا ہے امتحان اہل دل

سجدہ ہائے معصیت لے آؤں بت خانے سے کیا

جس طرح گزری ہے اب تک اب بھی گزرے گی یوں ہی

ہم نہیں بدلے تو دنیا کے بدل جانے سے کیا

مے کدہ سے خم میں آئی خم سے شیشہ میں ڈھلی

مے مرے لب تک نہ آ جائے گی پیمانے سے کیا

عالم ہستی میں کیوں لائی ہے اے عمر رواں

ایسے ویرانے کی رونق ایسے دیوانے سے کیا

دین ادھر دنیا ادھر اور بیچ میں واعظ کا وعظ

پھیر لیں شوکتؔ نظر ہم اپنی پیمانے سے کیا

شوکت تھانوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sach Hai Inko Mujhse Kya Aur Mere Afsane Se Kya

Shaukat Thanvi

sach hai in ko mujh se kya aur mere afsane se kya
kar diya diwana to ab kaam diwane se kya

ishq ka aalam juda hai husn ki duniya juda
mujh ko aabaadi se kya aur tum ko virane se kya

meri hairat is taraf hai teri ghaflat us taraf
dekhiye diwana ab kahta hai diwane se kya

shama ki lau hai to us ka ruKH bhi hai su-e-falak
raushni uD jaegi mere siyah-KHane se kya

phir haram mein ho raha hai imtihan-e-ahl-e-dil
sajda-ha-e-masiyat le aaun but-KHane se kya

jis tarah guzri hai ab tak ab bhi guzregi yunhi
hum nahin badle to duniya ke badal jaane se kya

mai-kada se KHum mein aai KHum se shishe mein Dhali
mai mere lab tak na aa jaegi paimane se kya

aalam-e-hasti mein kyun lai hai ai umr-e-rawan
aise virane ki raunaq aise diwane se kya

din idhar duniya udhar aur bich mein waiz ka waz
pher len 'shaukat' nazar hum apni paimane se kya

(546) ووٹ وصول ہوئے

You can read Sach Hai Inko Mujhse Kya Aur Mere Afsane Se Kya written by Shaukat Thanvi at UrduPoint. Sach Hai Inko Mujhse Kya Aur Mere Afsane Se Kya is one of the masterpieces written by Shaukat Thanvi. You can also find the complete poetry collection of Shaukat Thanvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shaukat Thanvi' above.

Sach Hai Inko Mujhse Kya Aur Mere Afsane Se Kya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sach Hai Inko Mujhse Kya Aur Mere Afsane Se Kya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.