Aql Ki Kuchh Kam Nahin Hai Rahbari Mere Liye, Urdu Ghazal By Shauq Bahraichi

Aql Ki Kuchh Kam Nahin Hai Rahbari Mere Liye is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shauq Bahraichi. Aql Ki Kuchh Kam Nahin Hai Rahbari Mere Liye comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Aql Ki Kuchh Kam Nahin Hai Rahbari Mere Liye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عقل کی کچھ کم نہیں ہے رہبری میرے لیے

شوق بہرائچی

عقل کی کچھ کم نہیں ہے رہبری میرے لیے

ہر طرف لائٹ ہے ہر سو روشنی میرے لیے

اب کہاں ہے حسن میں وہ دل کشی میرے لیے

رہ گئی ہنڈیاں میں خالی کھرچنی میرے لیے

آتش قہر خدا دم بھر میں کر دیتی ہے گل

ہے مری تر دامنی اے ''آر پی'' میرے لیے

ان کے تیور مہرباں ان کی نگاہیں ملتفت

دے رہی ہے زور پوری پارٹی میرے لیے

سیکڑوں جینے میں لالے لاکھوں رخنے زیست میں

کرم خوردہ اے خدا یہ زندگی میرے لیے

اہل محشر لے گئے قہر و غضب سب لوٹ کر

صرف اک رحمت خدا کی رہ گئی میرے لیے

دل میں رنگ و روغن دہقاں کا رہتا ہے خیال

روزمرہ گاؤں سے آتا ہے گھی میرے لیے

جب میں جانوں خدمت خلق خدا کرتے ہیں آپ

ڈھونڈ دیجے کوئی عورت شیخ جی میرے لیے

شکر ہے اللہ کا ہندوستاں میں ہے قیام

یاں زنانوں کی نہیں ہے کچھ کمی میرے لیے

شوقؔ ٹپکا پڑ رہا ہے روئے جاناں سے شباب

سامنے رکھی ہوئی ہے رس بھری میرے لیے

شوق بہرائچی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aql Ki Kuchh Kam Nahin Hai Rahbari Mere Liye

Shauq Bahraichi

aql ki kuchh kam nahin hai rahbari mere liye
har taraf light hai har-su raushni mere liye

ab kahan hai husn mein wo dilkashi mere liye
rah gai hanDiyan mein KHali khurchuni mere liye

aatish-e-qahr-e-KHuda dam bhar mein kar deti hai gul
hai meri tar-damani ai aar-pi mere liye

un ke tewar mehrban un ki nigahen multafit
de rahi hai zor puri parTi mere liye

saikDon jine mein lale lakhon raKHne zist mein
kirm-KHurda ai KHuda ye zindagi mere liye

ahl-e-mahshar le gae qahr-o-ghazab sab luT kar
sirf ek rahmat KHuda ki rah gai mere liye

dil mein rang-o-roghan-e-dahqan ka rahta hai KHayal
roz-marra ganw se aata hai ghi mere liye

jab main jaanun KHidmat-e-KHalq-e-KHuda karte hain aap
DhunD dije koi aurat shaiKH-ji mere liye

shukr hai allah ka hindostan mein hai qayam
yan zananon ki nahin hai kuchh kami mere liye

'shauq' Tapka paD raha hai ru-e-jaanan se shabab
samne rakkhi hui hai ras-bhari mere liye

(512) ووٹ وصول ہوئے

You can read Aql Ki Kuchh Kam Nahin Hai Rahbari Mere Liye written by Shauq Bahraichi at UrduPoint. Aql Ki Kuchh Kam Nahin Hai Rahbari Mere Liye is one of the masterpieces written by Shauq Bahraichi. You can also find the complete poetry collection of Shauq Bahraichi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shauq Bahraichi' above.

Aql Ki Kuchh Kam Nahin Hai Rahbari Mere Liye is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aql Ki Kuchh Kam Nahin Hai Rahbari Mere Liye, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.