Kuchh Ishaare Wo Sar-e-bazm Jo Kar Jate Hain, Urdu Ghazal By Sher Singh Naaz Dehlvi

Kuchh Ishaare Wo Sar-e-bazm Jo Kar Jate Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sher Singh Naaz Dehlvi. Kuchh Ishaare Wo Sar-e-bazm Jo Kar Jate Hain comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Kuchh Ishaare Wo Sar-e-bazm Jo Kar Jate Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کچھ اشارے وہ سر بزم جو کر جاتے ہیں

شیر سنگھ ناز دہلوی

کچھ اشارے وہ سر بزم جو کر جاتے ہیں

ناوک ناز کلیجے میں اتر جاتے ہیں

اہل دل راہ عدم سے بھی گزر جاتے ہیں

نام لیوا ترے بے خوف و خطر جاتے ہیں

سفر زیست ہوا ختم نہ سوچا لیکن

ہم کو جانا ہے کہاں اور کدھر جاتے ہیں

نگہ لطف میں ہے عقدہ کشائی مضمر

کام بگڑے ہوئے بندوں کے سنور جاتے ہیں

قابل دید ہے محشر میں خجالت ان کی

دو قدم چلتے ہیں رکتے ہیں ٹھہر جاتے ہیں

خوب بدنام کیا اپنی سیہ کاری نے

انگلیاں اٹھتی ہیں محشر میں جدھر جاتے ہیں

آنکھ کھل جاتی ہے چونک اٹھتے ہیں سونے والے

وہ دبے پاؤں جو تربت سے گزر جاتے ہیں

چارہ گر حاجت مرہم نہیں ان کو اصلاً

زخم دل لذت ایثار سے بھر جاتے ہیں

آہ سوزاں سے جو نکلے تھے ستارے شب غم

بن کے تارے وہی گردوں پہ بکھر جاتے ہیں

آج تک لوٹ کر آیا نہ جہاں سے کوئی

ہم صفیران جہاں ہم بھی ادھر جاتے ہیں

بحر غم میں وہی پھنستے ہیں جو ہوتے ہیں گراں

جو سبک ہوتے ہیں وہ پار اتر جاتے ہیں

کشتۂ ناز ترا کیوں نہ زمیں پر لوٹے

داغ دل جتنے ہیں اس طرح وہ بھر جاتے ہیں

شیر سنگھ ناز دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kuchh Ishaare Wo Sar-e-bazm Jo Kar Jate Hain

Sher Singh Naaz Dehlvi

kuchh ishaare wo sar-e-bazm jo kar jate hain
nawak-e-naz kaleje mein utar jate hain

ahl-e-dil rah-e-adam se bhi guzar jate hain
nam-lewa tere be-KHauf-o-KHatar jate hain

safar-e-zist hua KHatm na socha lekin
hum ko jaana hai kahan aur kidhar jate hain

nigah-e-lutf mein hai uqda-kushai muzmar
kaam bigDe hue bandon ke sanwar jate hain

qabil-e-did hai mahshar mein KHajalat un ki
do qadam chalte hain rukte hain Thahar jate hain

KHub badnam kiya apni siyahkari ne
ungliyan uThti hain mahshar mein jidhar jate hain

aankh khul jati hai chaunk uThte hain sone wale
wo dabe panw jo turbat se guzar jate hain

chaaragar hajat-e-marham nahin un ko aslan
zaKHm-e-dil lazzat-e-isar se bhar jate hain

aah-e-sozan se jo nikle the sitare shab-e-gham
ban ke tare wahi gardun pe bikhar jate hain

aaj tak lauT ke aaya na jahan se koi
ham-safiran-e-jahan hum bhi udhar jate hain

bahr-e-gham mein wahi phanste hain jo hote hain giran
jo subuk hote hain wo par utar jate hain

kushta-e-naz tera kyun na zamin par loTe
dagh-e-dil jitne hain is tarah wo bhar jate hain

(489) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kuchh Ishaare Wo Sar-e-bazm Jo Kar Jate Hain written by Sher Singh Naaz Dehlvi at UrduPoint. Kuchh Ishaare Wo Sar-e-bazm Jo Kar Jate Hain is one of the masterpieces written by Sher Singh Naaz Dehlvi. You can also find the complete poetry collection of Sher Singh Naaz Dehlvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sher Singh Naaz Dehlvi' above.

Kuchh Ishaare Wo Sar-e-bazm Jo Kar Jate Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kuchh Ishaare Wo Sar-e-bazm Jo Kar Jate Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.