Shahr-e-ehsas Mein ZaKHmon Ke KHaridar Bahut, Urdu Ghazal By Siddique Afghani

Shahr-e-ehsas Mein ZaKHmon Ke KHaridar Bahut is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Siddique Afghani. Shahr-e-ehsas Mein ZaKHmon Ke KHaridar Bahut comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read Shahr-e-ehsas Mein ZaKHmon Ke KHaridar Bahut on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شہر احساس میں زخموں کے خریدار بہت

صدیق افغانی

شہر احساس میں زخموں کے خریدار بہت

ہاتھ میں سنگ اٹھا شیشوں کے بازار بہت

کوئی کھڑکی ہے سلامت نہ کوئی دروازہ

میرے گھر کے سبھی کمرے ہیں ہوا دار بہت

ہاتھ تھکتے نہیں رنگوں کے ہیولے بن کر

اہل فن کو سر کاغذ خط پر کار بہت

دشت میں بھی وہی آثار ہیں آبادی کے

پھیلتا جاتا ہے اب سایۂ دیوار بہت

دھوپ کا پھول گرا شاخ شفق سے جس دم

دن کا چہرہ نظر آتا تھا شکن‌ دار بہت

نقش ہے ذہن پہ یوں تیرا طلسمی پیکر

میں ہوں خود اپنی نگاہوں میں پر اسرار بہت

لفظ کرنوں کی طرح دل میں اتر جاتے ہیں

دل نشیں ہے ترا پیرایۂ اظہار بہت

خوف دشمن کی طرح میرے تعاقب میں بھی تھا

خنجر وہم کے میں نے بھی سہے وار بہت

تن گئے اتنے مرے گرد ہواؤں کے پہاڑ

سانس لینا بھی ہے میرے لیے دشوار بہت

اب بھی لمحوں سے سلاسل کی کھنک آتی ہے

اب بھی ہیں وقت کے زنداں میں گرفتار بہت

زخم کے چاند نہ راتوں کو مرے دل میں اتار

میرے سینے پہ نہ رکھ سنگ گراں بار بہت

تیرگی آئے نہ صدیقؔ ضیا کے نزدیک

کاٹ رکھتی ہے یہ ٹوٹی ہوئی تلوار بہت

صدیق افغانی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shahr-e-ehsas Mein ZaKHmon Ke KHaridar Bahut

Siddique Afghani

shahr-e-ehsas mein zaKHmon ke KHaridar bahut
hath mein sang uTha shishon ke bazar bahut

koi khiDki hai salamat na koi darwaza
mere ghar ke sabhi kamre hain hawa-dar bahut

hath thakte nahin rangon ke hayule ban kar
ahl-e-fan ko sar-e-kaghaz KHat-e-pur-kar bahut

dasht mein bhi wahi aasar hain aabaadi ke
phailta jata hai ab saya-e-diwar bahut

dhup ka phul gira shaKH-e-shafaq se jis dam
din ka chehra nazar aata tha shikan-dar bahut

naqsh hai zehn pe yun tera tilismi paikar
main hun KHud apni nigahon mein pur-asrar bahut

lafz kirnon ki tarah dil mein utar jate hain
dil nashin hai tera pairaya-e-izhaar bahut

KHauf dushman ki tarah mere taaqub mein bhi tha
KHanjar-e-wahm ke main ne bhi sahe war bahut

tan gae itne mere gird hawaon ke pahaD
sans lena bhi hai mere liye dushwar bahut

ab bhi lamhon se salasil ki khanak aati hai
ab bhi hain waqt ke zindan mein giraftar bahut

zaKHm ke chand na raaton ko mere dil mein utar
mere sine pe na rakh sang-e-giran-bar bahut

tirgi aae na 'siddiq' ziya ke nazdik
kaT rakhti hai ye TuTi hui talwar bahut

(460) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Shahr-e-ehsas Mein ZaKHmon Ke KHaridar Bahut written by Siddique Afghani at UrduPoint. Shahr-e-ehsas Mein ZaKHmon Ke KHaridar Bahut is one of the masterpieces written by Siddique Afghani. You can also find the complete poetry collection of Siddique Afghani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Siddique Afghani' above.

Shahr-e-ehsas Mein ZaKHmon Ke KHaridar Bahut is a widely read Urdu Ghazal. If you like Shahr-e-ehsas Mein ZaKHmon Ke KHaridar Bahut, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.