ShaKH Se Phul Juda Karte Ho Kya Karte Ho, Urdu Ghazal By Syed Niyaz Ali Niyaz

ShaKH Se Phul Juda Karte Ho Kya Karte Ho is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Syed Niyaz Ali Niyaz. ShaKH Se Phul Juda Karte Ho Kya Karte Ho comes under the Sad category of Urdu Ghazal. You can read ShaKH Se Phul Juda Karte Ho Kya Karte Ho on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شاخ سے پھول جدا کرتے ہو کیا کرتے ہو

سید نیاز علی نیاز

شاخ سے پھول جدا کرتے ہو کیا کرتے ہو

پھر بہاروں کی دعا کرتے ہو کیا کرتے ہو

جب یہ معلوم ہے ہر وقت دعا دیتے ہیں

ایسے لوگوں سے وفا کرتے ہو کیا کرتے ہو

یہ جو تلوار ہے مظلوم کو بخشی جاتی

تم تو ظالم کو عطا کرتے ہو کیا کرتے ہو

اس طرح بات کا مفہوم بدل جائے گا

لفظ سے لفظ جدا کرتے ہو کیا کرتے ہو

شخصیت جتنی ہے اتنا ہی نظر آئے گا

قد سے آئینہ بڑا کرتے ہو کیا کرتے ہو

سید نیاز علی نیاز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

ShaKH Se Phul Juda Karte Ho Kya Karte Ho

Syed Niyaz Ali Niyaz

shaKH se phul juda karte ho kya karte ho
phir bahaaron ki dua karte ho kya karte ho

jab ye malum hai har waqt dua dete hain
aise logon se wafa karte ho kya karte ho

ye jo talwar hai mazlum ko baKHshi jati
tum to zalim ko ata karte ho kya karte ho

is tarah baat ka mafhum badal jaega
lafz se lafz juda karte ho kya karte ho

shaKHsiyat jitni hai utna hi nazar aaega
qad se aaina baDa karte ho kya karte ho

(417) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read ShaKH Se Phul Juda Karte Ho Kya Karte Ho written by Syed Niyaz Ali Niyaz at UrduPoint. ShaKH Se Phul Juda Karte Ho Kya Karte Ho is one of the masterpieces written by Syed Niyaz Ali Niyaz. You can also find the complete poetry collection of Syed Niyaz Ali Niyaz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Syed Niyaz Ali Niyaz' above.

ShaKH Se Phul Juda Karte Ho Kya Karte Ho is a widely read Urdu Ghazal. If you like ShaKH Se Phul Juda Karte Ho Kya Karte Ho, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.