Kal Aaj Aur Kal, Urdu Nazam By Aditya Pant Naaqid

Kal Aaj Aur Kal is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Aditya Pant Naaqid. Kal Aaj Aur Kal comes under the Social category of Urdu Nazam. You can read Kal Aaj Aur Kal on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کل آج اور کل

آدتیہ پنت ناقد

اپنے مستقبل و ماضی کی فقط سوچ سے تو

ارے نادان کسی طرح پریشان نہ ہو

حال ہی تیرا وجود اور تیری پونجی ہے

خرچ کر اس کو کھلے ہاتھ پشیمان نہ ہو

مانا سننے میں سنانے میں بھلی لگتی ہیں

یا کتابوں میں پڑھی جاتی ہیں ایسی باتیں

پر حقیقت میں پرے ہوتی ہیں سچائی سے

صرف اک فلسفہ ہی رہتی ہیں ایسی باتیں

اپنی یہ زندگی جس موڑ پہ ہے آج کھڑی

راہ اس کی تھے دکھاتے وہ گزشتہ لمحے

تجربے جن سے یہ جینے کا سلیقہ سیکھو

ہیں تمہیں سونپ کے جاتے وہ گزشتہ لمحے

پھر بھی کہتے ہو کہ ماضی کی سیہ رات کہیں

حال کی دھوپ سنہری کو نہ ڈسنے پائے

بیتی یادوں نے بچھائے ہیں جو کچھ جال یہاں

ان سے بچنا ہے تمہیں پاؤں نہ پھنسنے پائے

اور پھر رکھے قدم تم نے جو ان راہوں پر

منزلیں ان کی اسی وقت کا ہے دوجا چھور

کل اگر اک ہے پتنگ آج بنے اس کی ڈور

ہے اثر کل کا وقت حال پہ ایسا پر زور

پھر بھی کہتے ہو کہ بس حال ہی کی پروا کرو

وقت آئندہ محض خواب ہوا کرتا ہے

آج دریا ہے جو حلقے سے بہا کرتا ہے

کل کے اس بحر میں گرداب ہوا کرتا ہے

ہے حقیقت تو یہی کہتے ہو تم حال جسے

کیا تھا کل تک نہیں آئندہ وقت کا ہی قیاس

وقت کے چلتے رہے گر یہ سلاسل یوں ہی

اوڑھ لے گا وہی کل دیکھنا ماضی کا لباس

آدتیہ پنت ناقد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kal Aaj Aur Kal

Aditya Pant Naaqid

apne mustaqbil-o-mazi ki faqat soch se tu
are nadan kisi tarah pareshan na ho
haal hi tera wajud aur teri punji hai
KHarch kar us ko khule hath pasheman na ho

mana sunne mein sunane mein bhali lagti hain
ya kitabon mein paDhi jati hain aisi baaten
par haqiqat mein pare hoti hain sachchai se
sirf ek falsafa hi rahti hain aisi baaten

apni ye zindagi jis moD pe hai aaj khaDi
rah us ki the dikhate wo guzishta lamhe
tajarbe jin se ye jine ka saliqa sikho
hain tumhein saunp ke jate wo guzishta lamhe

phir bhi kahte ho ki mazi ki siyah-raat kahin
haal ki dhup sunahri ko na Dasne pae
biti yaadon ne bichhae hain jo kuchh jal yahan
in se bachna hai tumhein paon na phansne pae

aur phir rakhe qadam tum ne jo in rahon par
manzilen in ki isi waqt ka hai duja chhor
kal agar ek hai patang aaj bane us ki Dor
hai asar kal ka waqt-e-haal pe aisa pur-zor

phir bhi kahte ho ki bas haal hi ki parwa karo
waqt-e-ainda mahz KHwab hua karta hai
aaj dariya hai jo halqe se baha karta hai
kal ke is bahr mein girdab hua karta hai

hai haqiqat to yahi kahte ho tum haal jise
kiya tha kal tak nahin aainda waqt ka hi qayas
waqt ke chalte rahe gar ye salasil yun hi
oDh lega wahi kal dekhna mazi ka libas

(974) ووٹ وصول ہوئے

You can read Kal Aaj Aur Kal written by Aditya Pant Naaqid at UrduPoint. Kal Aaj Aur Kal is one of the masterpieces written by Aditya Pant Naaqid. You can also find the complete poetry collection of Aditya Pant Naaqid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aditya Pant Naaqid' above.

Kal Aaj Aur Kal is a widely read Urdu Nazam. If you like Kal Aaj Aur Kal, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.