Raqs Karti Hai Faza Wajd Mein Jam Aaya Hai, Urdu Ghazal By Darshan Singh

Raqs Karti Hai Faza Wajd Mein Jam Aaya Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Darshan Singh. Raqs Karti Hai Faza Wajd Mein Jam Aaya Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Raqs Karti Hai Faza Wajd Mein Jam Aaya Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

رقص کرتی ہے فضا وجد میں جام آیا ہے

درشن سنگھ

رقص کرتی ہے فضا وجد میں جام آیا ہے

پھر کوئی لے کے بہاروں کا پیام آیا ہے

بادہ خواران فنا بڑھ کے قدم لو اس کے

لے کے ساغر میں جو صہبائے دوام آیا ہے

میں نے سیکھا ہے زمانے سے محبت کرنا

تیرا پیغام محبت مرے کام آیا ہے

رہبر جادۂ حق نور خدا ہادی دیں

لے کے خالق کا زمانے میں پیام آیا ہے

تیری منزل ہے بلند اتنی کہ ہر شام و سحر

چاند سورج سے ترے در کو سلام آیا ہے

ہو گیا تیری محبت میں گرفتار تو پھر

طائر روح بھلا کب تہ دام آیا ہے

خود بہ خود جھک گئی پیشانیٔ ارباب خودی

عشق کی راہ میں ایسا بھی مقام آیا ہے

عاصیو شکر کی جا ہے کہ بہ فیض خالق

ہم گنہ گاروں کی بخشش کا پیام آیا ہے

حرم و دیر کے لوگوں کی خوشی کیا کہنا

بندۂ خالق و دلدادۂ رام آیا ہے

تشنہ کامان نظارہ کو یہ مژدہ دے دو

بے نقاب آج کوئی پھر سر بام آیا ہے

ہو مبارک تمہیں رندو کہ بہ تائید خدا

کوئی چھلکاتا ہوا شیشہ و جام آیا ہے

جب کبھی گردش دوراں نے ستایا ہے بہت

تیرے رندوں کی زباں پر ترا نام آیا ہے

اہل مغرب کو پلا کر مئے عرفاں درشنؔ

پھر سے مشرق کی طرف عرش مقام آیا ہے

درشن سنگھ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Raqs Karti Hai Faza Wajd Mein Jam Aaya Hai

Darshan Singh

raqs karti hai faza wajd mein jam aaya hai
phir koi le ke bahaaron ka payam aaya hai

baada-KHwaran-e-fana baDh ke qadam lo us ke
le ke saghar mein jo sahba-e-dawam aaya hai

main ne sikha hai zamane se mohabbat karna
tera paigham-e-mohabbat mere kaam aaya hai

rahbar-e-jada-e-haq nur-e-KHuda hadi den
le ke KHaliq ka zamane mein payam aaya hai

teri manzil hai buland itni ki har sham-o-sahar
chand-suraj se tere dar ko salam aaya hai

ho gaya teri mohabbat mein giraftar to phir
taer-e-ruh bhala kab tah-e-dam aaya hai

KHud-ba-KHud jhuk gai peshani-e-arbab-e-KHudi
ishq ki rah mein aisa bhi maqam aaya hai

aasiyo shukr ki ja hai ki ba-faiz-e-KHaliq
hum gunahgaron ki baKHshish ka payam aaya hai

haram-o-dair ke logon ki KHushi kya kahna
banda-e-KHaliq-o-dil-dada-e-ram aaya hai

tishna-kaaman-e-nazara ko ye muzhda de do
be-naqab aaj koi phir sar-e-baam aaya hai

ho mubarak tumhein rindo ki ba-taid-e-KHuda
koi chhalkata hua shisha-o-jam aaya hai

jab kabhi gardish-e-dauran ne sataya hai bahut
tere rindon ki zaban par tera nam aaya hai

ahl-e-maghrib ko pila kar mai-e-irfan 'darshan'
phir se mashriq ki taraf arsh-maqam aaya hai

(1016) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Raqs Karti Hai Faza Wajd Mein Jam Aaya Hai written by Darshan Singh at UrduPoint. Raqs Karti Hai Faza Wajd Mein Jam Aaya Hai is one of the masterpieces written by Darshan Singh. You can also find the complete poetry collection of Darshan Singh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Darshan Singh' above.

Raqs Karti Hai Faza Wajd Mein Jam Aaya Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Raqs Karti Hai Faza Wajd Mein Jam Aaya Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.