Ghar Hai To Dar Bhi Hoga Diwar Bhi Rahegi, Urdu Ghazal By Hameed Almas

Ghar Hai To Dar Bhi Hoga Diwar Bhi Rahegi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hameed Almas. Ghar Hai To Dar Bhi Hoga Diwar Bhi Rahegi comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ghar Hai To Dar Bhi Hoga Diwar Bhi Rahegi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گھر ہے تو در بھی ہوگا دیوار بھی رہے گی

حمید الماس

گھر ہے تو در بھی ہوگا دیوار بھی رہے گی

زنجیر بھی ہلے گی جھنکار بھی رہے گی

تاریکیوں کے قلب تاریک تر میں ڈھونڈو

اک شمع ماورائے انوار بھی رہے گی

بہتر تھا بے رخی کا اظہار یوں نہ ہوتا

مانا کہ کچھ تو وجہ انکار بھی رہے گی

جس آنکھ کو چھپا کر رکھا ہے ہر نظر سے

وہ نیم وا بھی ہوگی بیدار بھی رہے گی

صحرا طلب کا گویا میدان کربلا ہے

پاؤں میں ریت سر پر تلوار بھی رہے گی

قربت کی ساعتوں میں دوری کا خوف ہوگا

سائے سے روشنی کی پیکار بھی رہے گی

ظاہر ہے سادگی بھی الماسؔ کے سخن سے

لیکن غزل کی فطرت پر کار بھی رہے گی

حمید الماس

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ghar Hai To Dar Bhi Hoga Diwar Bhi Rahegi

Hameed Almas

ghar hai to dar bhi hoga diwar bhi rahegi
zanjir bhi hilegi jhankar bhi rahegi

tarikiyon ke qalb-e-tarik-tar mein DhunDo
ek shama mawara-e-anwar bhi rahegi

behtar tha be-ruKHi ka izhaar yun na hota
mana ki kuchh to wajh-e-inkar bhi rahegi

jis aankh ko chhupa kar rakkha hai har nazar se
wo nim-wa bhi hogi bedar bhi rahegi

sahra talab ka goya maidan-e-karbala hai
panw mein ret sar par talwar bhi rahegi

qurbat ki saaton mein duri ka KHauf hoga
sae se raushni ki paikar bhi rahegi

zahir hai sadgi bhi 'almas' ke suKHan se
lekin ghazal ki fitrat pur-kar bhi rahegi

(770) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ghar Hai To Dar Bhi Hoga Diwar Bhi Rahegi written by Hameed Almas at UrduPoint. Ghar Hai To Dar Bhi Hoga Diwar Bhi Rahegi is one of the masterpieces written by Hameed Almas. You can also find the complete poetry collection of Hameed Almas by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hameed Almas' above.

Ghar Hai To Dar Bhi Hoga Diwar Bhi Rahegi is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ghar Hai To Dar Bhi Hoga Diwar Bhi Rahegi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.