Har Samt KHamushi Ka Ghana Ek Hisar Tha, Urdu Ghazal By Iqbal Anjum

Har Samt KHamushi Ka Ghana Ek Hisar Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Iqbal Anjum. Har Samt KHamushi Ka Ghana Ek Hisar Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Har Samt KHamushi Ka Ghana Ek Hisar Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہر سمت خامشی کا گھنا اک حصار تھا

اقبال انجم

ہر سمت خامشی کا گھنا اک حصار تھا

حد نگاہ سلسلۂ کوہسار تھا

وہ آگ تھی کہ جلتا رہا عمر بھر بدن

مضمر مرے لہو میں کہیں اک شرار تھا

چھو کر بلندیوں کو ہوئے بد گمان لوگ

پھر اس کے بعد ایک مسلسل اتار تھا

ہم نے دعائیں مانگ کر روکیں تباہیاں

لیکن ہر ایک شے میں عجب انتشار تھا

اک روشنی بھی دست مسافت میں ساتھ تھی

کوئی تو مجھ سے آگے سر رہ گزار تھا

اقبال انجم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Har Samt KHamushi Ka Ghana Ek Hisar Tha

Iqbal Anjum

har samt KHamushi ka ghana ek hisar tha
hadd-e-nigah silsila-e-kohsar tha

wo aag thi ki jalta raha umr bhar badan
muzmar mere lahu mein kahin ek sharar tha

chhu kar bulandiyon ko hue bad-guman log
phir is ke baad ek musalsal utar tha

hum ne duaen mang kar rokin tabahiyan
lekin har ek shai mein ajab intishaar tha

ek raushni bhi dast-e-masafat mein sath thi
koi to mujh se aage sar-e-rahguzar tha

(479) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Har Samt KHamushi Ka Ghana Ek Hisar Tha written by Iqbal Anjum at UrduPoint. Har Samt KHamushi Ka Ghana Ek Hisar Tha is one of the masterpieces written by Iqbal Anjum. You can also find the complete poetry collection of Iqbal Anjum by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Iqbal Anjum' above.

Har Samt KHamushi Ka Ghana Ek Hisar Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Har Samt KHamushi Ka Ghana Ek Hisar Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.