GaDe Mardon Ne Akasr Zinda Logon Ki Qayaadat Ki, Urdu Ghazal By Iqbal Sajid

GaDe Mardon Ne Akasr Zinda Logon Ki Qayaadat Ki is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Iqbal Sajid. GaDe Mardon Ne Akasr Zinda Logon Ki Qayaadat Ki comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read GaDe Mardon Ne Akasr Zinda Logon Ki Qayaadat Ki on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گڑے مردوں نے اکثر زندہ لوگوں کی قیادت کی

اقبال ساجد

گڑے مردوں نے اکثر زندہ لوگوں کی قیادت کی

مری راہوں میں بھی حائل ہیں دیواریں قدامت کی

نئی کرنیں پرانے آسماں میں کیوں جگہ پائیں

وہ کافر ہے کہ جس نے چڑھتے سورج کی عبادت کی

پرانی سیڑھیوں پر میں نئے قدموں کو کیوں رکھوں

گراؤں کس لئے چھت سر پہ بوسیدہ عمارت کی

ترا احساس بھی ہوگا کبھی میری طرح پتھر

نکل جائے گی آئینے سے پرچھائیں نزاکت کی

وہ میرا بت تھا جس کو میں نے اپنے ہاتھ سے توڑا

کہ برسوں کی یہ محنت ایک لمحے میں اکارت کی

اگر ہے نام کی خواہش تو دیواروں پہ چسپاں کر

بنا کر جھوٹ کے رنگوں سے تصویریں صداقت کی

ابھی سینوں میں لہراتے ہیں میری یاد کے پرچم

ابھی تک ثبت ہیں مہریں دلوں پر بادشاہت کی

ابھی سب حرف تازہ ہیں مکرتا کیوں ہے معنی سے

سیاہی خشک بھی ہونے نہیں پائی عبارت کی

کوئی میٹھے پھلوں کی آس میں کیوں تلخ دن کاٹے

کسے فرصت ہے ساجدؔ آج کل صبر و قناعت کی

اقبال ساجد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

GaDe Mardon Ne Akasr Zinda Logon Ki Qayaadat Ki

Iqbal Sajid

gaDe mardon ne akasr zinda logon ki qayaadat ki
meri rahon mein bhi hail hain diwaren qadamat ki

nai kirnen purane aasman mein kyun jagah paen
wo kafir hai ki jis ne chaDhte suraj ki ibaadat ki

purani siDhiyon par main nae qadmon ko kyun rakhun
giraun kis liye chhat sar pe bosida imarat ki

tera ehsas bhi hoga kabhi meri tarah patthar
nikal jaegi aaine se parchhain nazakat ki

wo mera but tha jis ko main ne apne hath se toDa
ki barson ki ye mehnat ek lamhe mein akarat ki

agar hai nam ki KHwahish to diwaron pe chaspan kar
bana kar jhuT ke rangon se taswiren sadaqat ki

abhi sinon mein lahraate hain meri yaad ke parcham
abhi tak sabt hain mohren dilon par baadshahat ki

abhi sab harf taza hain mukarta kyun hai mani se
syahi KHushk bhi hone nahin pai ibarat ki

koi miThe phalon ki aas mein kyun talKH din kaTe
kise fursat hai 'sajid' aaj-kal sabr-o-qanaat ki

(387) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read GaDe Mardon Ne Akasr Zinda Logon Ki Qayaadat Ki written by Iqbal Sajid at UrduPoint. GaDe Mardon Ne Akasr Zinda Logon Ki Qayaadat Ki is one of the masterpieces written by Iqbal Sajid. You can also find the complete poetry collection of Iqbal Sajid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Iqbal Sajid' above.

GaDe Mardon Ne Akasr Zinda Logon Ki Qayaadat Ki is a widely read Urdu Ghazal. If you like GaDe Mardon Ne Akasr Zinda Logon Ki Qayaadat Ki, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.