Tumhaare Dekhne Ko Hasrat-e-hairat-faza Thahri, Urdu Ghazal By Jameela Khuda Bakhsh

Tumhaare Dekhne Ko Hasrat-e-hairat-faza Thahri is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jameela Khuda Bakhsh. Tumhaare Dekhne Ko Hasrat-e-hairat-faza Thahri comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tumhaare Dekhne Ko Hasrat-e-hairat-faza Thahri on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تمہارے دیکھنے کو حسرت حیرت فزا ٹھہری

جمیلہ خدا بخش

تمہارے دیکھنے کو حسرت حیرت فزا ٹھہری

دل محزوں سے نکلی دیدۂ بسمل میں آ ٹھہری

تصور یار کا تھا سامنے آتی قضا کیوں کر

سر بالیں دم مردن بشکل دل ربا ٹھہری

جھکایا بار عصیاں نے ہمارے دست حسرت کو

پہنچ کر تا بلب جس کی ندامت سے دعا ٹھہری

تمہاری جنبش ابرو سے گھائل ہو گئے عاشق

بن آئی جان پر ان کی تمہاری اک ادا ٹھہری

اسی انداز نے ویراں کیا ہے میرے پہلو کو

دل عاشق کے لینے کو ان آنکھوں میں ضیا ٹھہری

صبا کے تیز جھونکوں نے پھرایا در بدر اس کو

زمیں پر چین سے کس دم یہ خاک مبتلا ٹھہری

جلایا مسکرا کر اور ادا سے کر دیا مردہ

کہیں تو یہ جفا ٹھہری کسی جا پر وفا ٹھہری

بسان خون دل چسپاں ہوئی ہے تیرے تلووں سے

ہماری دشمن جاں اب یہ شوخئ ضیا ٹھہری

الٰہی کیا مرے دلبر نے کھولا اپنے گیسو کو

مشام جاں میں اپنے آ کے بوئے جاں فزا ٹھہری

تمہاری بد دعا سے لطف ملتا ہے مرے دل کو

میں عاشق ہوں تمہارا وہ مرے حق میں دعا ٹھہری

فرشتوں نے پکارا اے جمیلہؔ جلد حاضر ہو

خدا کے روبرو آ کر صف اہل صفا ٹھہری

جمیلہ خدا بخش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tumhaare Dekhne Ko Hasrat-e-hairat-faza Thahri

Jameela Khuda Bakhsh

tumhaare dekhne ko hasrat-e-hairat-faza Thahri
dil-e-mahzun se nikli dida-e-bismil mein aa Thahri

tasawwur yar ka tha samne aati qaza kyun kar
sar-e-baalin dam-e-murdan ba-shakl-e-dil-ruba Thahri

jhukaya bar-e-isyan ne hamare dast-e-hasrat ko
pahunch kar ta-ba-lab jis ki nadamat se dua Thahri

tumhaari jumbish-e-abru se ghayal ho gae aashiq
ban aai jaan par un ki tumhaari ek ada Thahri

usi andaz ne viran kiya hai mere pahlu ko
dil-e-ashiq ke lene ko in aankhon mein ziya Thahri

saba ke tez jhonkon ne phiraya dar-ba-dar us ko
zamin par chain se kis dam ye KHak-e-mubtala Thahri

jalaya muskura kar aur ada se kar diya murda
kahin to ye jafa Thahri kisi ja par wafa Thahri

basan-e-KHun-e-dil chaspan hui hai tere talwon se
hamari dushman-e-jaan ab ye shoKHi-e-ziya Thahri

ilahi kya mere dilbar ne khola apne gesu ko
masham-e-jaan mein apne aa ke bu-e-jaan-fiza Thahri

tumhaari bad-dua se lutf milta hai mere dil ko
main aashiq hun tumhaara wo mere haq mein dua Thahri

farishton ne pukara ai 'jamila' jald hazir ho
KHuda ke ru-ba-ru aa kar saf-e-ahl-e-safa Thahri

(468) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tumhaare Dekhne Ko Hasrat-e-hairat-faza Thahri written by Jameela Khuda Bakhsh at UrduPoint. Tumhaare Dekhne Ko Hasrat-e-hairat-faza Thahri is one of the masterpieces written by Jameela Khuda Bakhsh. You can also find the complete poetry collection of Jameela Khuda Bakhsh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jameela Khuda Bakhsh' above.

Tumhaare Dekhne Ko Hasrat-e-hairat-faza Thahri is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tumhaare Dekhne Ko Hasrat-e-hairat-faza Thahri, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.