Yar Kahta Hai Tajalli-e-laqa Thi Main Na Tha, Urdu Ghazal By Jameela Khuda Bakhsh

Yar Kahta Hai Tajalli-e-laqa Thi Main Na Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jameela Khuda Bakhsh. Yar Kahta Hai Tajalli-e-laqa Thi Main Na Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Yar Kahta Hai Tajalli-e-laqa Thi Main Na Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یار کہتا ہے تجلئ لقا تھی میں نہ تھا

جمیلہ خدا بخش

یار کہتا ہے تجلئ لقا تھی میں نہ تھا

طور سینا پر وہی جلوہ نما تھی میں نہ تھا

گنبد افلاک پر جس کا ہوا اکثر گزر

وہ دل بیمار غم کی اک دعا تھی میں نہ تھا

ہر طرف تھی عالم امکاں میں جو پھیلی ہوئی

میرے اسرار حقیقت کی ضیا تھی میں نہ تھا

مثل بوئے گل ترے کوچہ میں تھا جس کا گزر

اے صنم وہ میری جان مبتلا تھی میں نہ تھا

بوستاں میں طالب دیدار تھی جو آپ کی

وہ گل نرگس کی چشم با ضیا تھی میں نہ تھا

بعد مردن قبر میں مجھ کو سلا کر یہ کہا

درد تھا بیتابیاں تھیں اور قضا تھی میں نہ تھا

اک جھلک دکھلا کے اپنی کس ادا سے کہہ گیا

جس کو دیکھا وہ بھی شان کبریا تھی میں نہ تھا

جس نے چوما وقت پامالی قدوم ناز کو

خون دل با شوخئ رنگ حنا تھی میں نہ تھا

درگزر کر آئنے سے آپ نے موڑا ہے منہ

اس میں میری حسرت حیرت فزا تھی میں نہ تھا

زاری و شیون ہماری کب سنی ہیں آپ نے

بوستاں میں بلبل نغمہ سرا تھی میں نہ تھا

اڑ کے جو پہنچی صبا کے ساتھ گلیوں میں تری

مشت خاک کشتۂ تیغ ادا تھی میں نہ تھا

دیکھ کر ان کو جو میں فرط مسرت سے مرا

وہ لگے کہنے کہ یہ اس کی قضا تھی میں نہ تھا

تھا میں تصویر خیالی ہستئ موہوم میں

وہ بھی شان عشق شاہ دو سرا تھی میں نہ تھا

اے جمیلہؔ بوستان عشق میں وقت سحر

نکہت گل سی جو پہنچی وہ صبا تھی میں نہ تھا

جمیلہ خدا بخش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Yar Kahta Hai Tajalli-e-laqa Thi Main Na Tha

Jameela Khuda Bakhsh

yar kahta hai tajalli-e-laqa thi main na tha
tur-e-sina par wahi jalwa-numa thi main na tha

gumbad-e-aflak par jis ka hua akasr guzar
wo dil-e-bimar-e-gham ki ek dua thi main na tha

har taraf thi aalam-e-imkan mein jo phaili hui
mere asrar-e-haqiqat ki ziya thi main na tha

misl-e-bu-e-gul tere kuche mein tha jis ka guzar
ai sanam wo meri jaan-e-mubtala thi main na tha

bostan mein talib-e-didar thi jo aap ki
wo gul-e-nargis ki chashm-e-ba-ziya thi main na tha

baad-e-murdan qabr mein mujh ko sula kar ye kaha
dard tha betabiyan thin aur qaza thi main na tha

ek jhalak dikhla ke apni kis ada se kah gaya
jis ko dekha wo bhi shan-e-kibriya thi main na tha

jis ne chuma waqt-e-pamali qudum-e-naz ko
KHun-e-dil ba-shoKHi-e-rang-e-hina thi main na tha

darguzar kar aaine se aap ne moDa hai munh
is mein meri hasrat-e-hairat-faza thi main na tha

zari-o-shewan hamari kab suni hain aap ne
bostan mein bulbul-e-naghma-sara thi main na tha

uD ke jo pahunchi saba ke sath galiyon mein teri
musht-e-KHak-e-kushta-e-tegh-e-ada thi main na tha

dekh kar un ko jo main fart-e-masarrat se mara
wo lage kahne ki ye us ki qaza thi main na tha

tha main taswir-e-KHyali hasti-e-mauhum mein
wo bhi shan-e-ishq-e-shah-e-do-sra thi main na tha

ai 'jamila' bostan-e-ishq mein waqt-e-sahar
nikhat-e-gul si jo pahunchi wo saba thi main na tha

(373) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Yar Kahta Hai Tajalli-e-laqa Thi Main Na Tha written by Jameela Khuda Bakhsh at UrduPoint. Yar Kahta Hai Tajalli-e-laqa Thi Main Na Tha is one of the masterpieces written by Jameela Khuda Bakhsh. You can also find the complete poetry collection of Jameela Khuda Bakhsh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jameela Khuda Bakhsh' above.

Yar Kahta Hai Tajalli-e-laqa Thi Main Na Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Yar Kahta Hai Tajalli-e-laqa Thi Main Na Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.