Zahid Ke Dil Mein But Hai Musalman Nahin Raha, Urdu Ghazal By Jameela Khuda Bakhsh

Zahid Ke Dil Mein But Hai Musalman Nahin Raha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jameela Khuda Bakhsh. Zahid Ke Dil Mein But Hai Musalman Nahin Raha comes under the Social category of Urdu Ghazal. You can read Zahid Ke Dil Mein But Hai Musalman Nahin Raha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

زاہد کے دل میں بت ہے مسلماں نہیں رہا

جمیلہ خدا بخش

زاہد کے دل میں بت ہے مسلماں نہیں رہا

یہ برہمن ہے صاحب ایماں نہیں رہا

ملتے ہیں ہاتھ یاس سے دست جنوں مرے

افسوس کوئی تار گریباں نہیں رہا

صد شکر اپنے ساتھ دل اس کو بھی لے گیا

جو چھیڑتا تھا ہم کو وہ ارماں نہیں رہا

تصویر یار مجھ کو تصور بنا چکا

پر شکر ہے خدا کا پریشاں نہیں رہا

پہنچا دیا صبا نے اسے کوئے یار میں

اپنا غبار بے سر و ساماں نہیں رہا

لب بستہ دفعتاً جو ہوا زخم دل مرا

دلبر کے خوان کا وہ نمکداں نہیں رہا

انسانیت ہے جس میں دلا ہے وہ آدمی

حیوانیت ہے جس میں وہ انساں نہیں رہا

افشا یہ راز عشق ہوا میری آہ سے

جس کو چھپا رہے تھے وہ پنہاں نہیں رہا

عاشق کی تربتوں کو مٹا کر یہ کہہ دیا

لو اب نشان گور غریباں نہیں رہا

اپنی صدا سنا کے ہر اک یاں سے چل بسا

گلشن میں کوئی مرغ خوش الحاں نہیں رہا

جو قیدئ محن تھے جمیلہؔ وہ چل بسے

زنداں میں کوئی صاحب زنداں نہیں رہا

جمیلہ خدا بخش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zahid Ke Dil Mein But Hai Musalman Nahin Raha

Jameela Khuda Bakhsh

zahid ke dil mein but hai musalman nahin raha
ye barahman hai sahab-e-iman nahin raha

malte hain hath yas se dast-e-junun mere
afsos koi tar-e-gareban nahin raha

sad-shukr apne sath dil us ko bhi le gaya
jo chheDta tha hum ko wo arman nahin raha

taswir-e-yar mujh ko tasawwur bana chuka
par shukr hai KHuda ka pareshan nahin raha

pahuncha diya saba ne use ku-e-yar mein
apna ghubar be-sar-o-saman nahin raha

lab-basta dafatan jo hua zaKHm-e-dil mera
dilbar ke KHwan ka wo namak-dan nahin raha

insaniyat hai jis mein dila hai wo aadmi
haiwaniyat hai jis mein wo insan nahin raha

ifsha ye raaz-e-ishq hua meri aah se
jis ko chhupa rahe the wo pinhan nahin raha

aashiq ki turbaton ko miTa kar ye kah diya
lo ab nishan-e-gor-e-ghariban nahin raha

apni sada suna ke har ek yan se chal basa
gulshan mein koi murgh-e-KHush-ilhan nahin raha

jo qaidi-e-mehan the 'jamila' wo chal base
zindan mein koi sahab-e-zindan nahin raha

(413) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zahid Ke Dil Mein But Hai Musalman Nahin Raha written by Jameela Khuda Bakhsh at UrduPoint. Zahid Ke Dil Mein But Hai Musalman Nahin Raha is one of the masterpieces written by Jameela Khuda Bakhsh. You can also find the complete poetry collection of Jameela Khuda Bakhsh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jameela Khuda Bakhsh' above.

Zahid Ke Dil Mein But Hai Musalman Nahin Raha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Zahid Ke Dil Mein But Hai Musalman Nahin Raha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.