KHushi Ki Had Ghamon Ki Intiha Malum Hoti Hai, Urdu Ghazal By Muneer Bhopali

KHushi Ki Had Ghamon Ki Intiha Malum Hoti Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muneer Bhopali. KHushi Ki Had Ghamon Ki Intiha Malum Hoti Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHushi Ki Had Ghamon Ki Intiha Malum Hoti Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خوشی کی حد غموں کی انتہا معلوم ہوتی ہے

منیر بھوپالی

خوشی کی حد غموں کی انتہا معلوم ہوتی ہے

خدا جانے محبت کیا ہے کیا معلوم ہوتی ہے

جہاں کا ذرہ ذرہ یوں تو زیر حکم فطرت ہے

مگر یہ حسن کی دنیا جدا معلوم ہوتی ہے

توقع ان کے آنے کی نہ امید اجل پھر کیوں

ہر اک حسرت تبسم آشنا معلوم ہوتی ہے

بڑی ہلچل مچی ہے آج دل والوں کی دنیا میں

تری نظروں میں شان التجا معلوم ہوتی ہے

ثنائے حسن توصیف ادا تعریف دل جوئی

یہ سب تمہید عرض مدعا معلوم ہوتی ہے

یہ تکمیل محبت ہے کہ توفیق خداوندی

مجھے ہر انتہا اب ابتدا معلوم ہوتی ہے

اگر مائل یہ پستی ہے محبت عہد عاصی ہے

جو اس کی رفعتیں دیکھو خدا معلوم ہوتی ہے

بس اے چشم تلطف بس کہ درد آشنا ہو کر

مرے جذبات سے ناآشنا معلوم ہوتی ہے

محبت ایک ہے لیکن اثر ضدین رکھتی ہے

کہیں رہزن کسی جا رہنما معلوم ہوتی

جگر ٹکڑے ہوا جاتا ہے ہر آواز پر اس کی

منیرؔ بے نوا کی یہ صدا معلوم ہوتی ہے

منیر بھوپالی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHushi Ki Had Ghamon Ki Intiha Malum Hoti Hai

Muneer Bhopali

KHushi ki had ghamon ki intiha malum hoti hai
KHuda jaane mohabbat kya hai kya malum hoti hai

jahan ka zarra zarra yun to zer-e-hukm-e-fitrat hai
magar ye husn ki duniya juda malum hoti hai

tawaqqo un ke aane ki na ummid-e-ajal phir kyon
har ek hasrat tabassum-ashna malum hoti hai

baDi halchal machi hai aaj dil walon ki duniya mein
teri nazron mein shan-e-iltija malum hoti hai

sana-e-husn tausif-e-ada tarif-e-dil-jui
ye sab tamhid-e-arz-e-muddaa malum hoti hai

ye takmil-e-mohabbat hai ki taufiq-e-KHudawandi
mujhe har intiha ab ibtida malum hoti hai

agar mail ye pasti hai mohabbat ahd-e-asi hai
jo us ki rifaten dekho KHuda malum hoti hai

bas ai chashm-e-talattuf bas ki dard-e-ashna ho kar
mere jazbaat se na-ashna malum hoti hai

mohabbat ek hai lekin asar ziddain rakhti hai
kahin rahzan kisi ja rahnuma malum hoti

jigar TukDe hua jata hai har aawaz par is ki
'munir'-e-be-nawa ki ye sada malum hoti he

(463) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHushi Ki Had Ghamon Ki Intiha Malum Hoti Hai written by Muneer Bhopali at UrduPoint. KHushi Ki Had Ghamon Ki Intiha Malum Hoti Hai is one of the masterpieces written by Muneer Bhopali. You can also find the complete poetry collection of Muneer Bhopali by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muneer Bhopali' above.

KHushi Ki Had Ghamon Ki Intiha Malum Hoti Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHushi Ki Had Ghamon Ki Intiha Malum Hoti Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.