Karobar-e-ishq Ki Kasrat Kabhi Aisi Na Thi, Urdu Ghazal By Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

Karobar-e-ishq Ki Kasrat Kabhi Aisi Na Thi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi. Karobar-e-ishq Ki Kasrat Kabhi Aisi Na Thi comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Karobar-e-ishq Ki Kasrat Kabhi Aisi Na Thi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کاروبار عشق کی کثرت کبھی ایسی نہ تھی

منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

کاروبار عشق کی کثرت کبھی ایسی نہ تھی

دل نہ تھا تو تنگئ‌ فرصت کبھی ایسی نہ تھی

یاس سے ویرانئ‌ حسرت کبھی ایسی نہ تھی

دل میں سناٹا نہ تھا وحشت کبھی ایسی نہ تھی

ان کے وعدہ پر ہمیں جینا پڑا ہے حشر تک

ورنہ طولانی شب فرقت کبھی ایسی نہ تھی

دیکھ ڈالے زندگی میں وصل‌ و فرقت کے طلسم

غم کبھی ایسا نہ تھا راحت کبھی ایسی نہ تھی

آپ نے بیمار پرسی کی تو جینا ہے وبال

ورنہ مرنے کی مجھے حسرت کبھی ایسی نہ تھی

بامزا ہے کس قدر انکار ان کا وصل میں

تجھ میں اے خون جگر لذت کبھی ایسی نہ تھی

دل کو کیا سمجھا دیا نومیدیٔ جاوید نے

پردہ دار غم شب فرقت کبھی ایسی نہ تھی

زندگی کی کش مکش سے مر کے پائی کچھ نجات

اس سے پہلے اے نظرؔ فرصت کبھی ایسی نہ تھی

منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Karobar-e-ishq Ki Kasrat Kabhi Aisi Na Thi

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

karobar-e-ishq ki kasrat kabhi aisi na thi
dil na tha to tangi-e-fursat kabhi aisi na thi

yas se virani-e-hasrat kabhi aisi na thi
dil mein sannaTa na tha wahshat kabhi aisi na thi

un ke wade par hamein jina paDa hai hashr tak
warna tulani shab-e-furqat kabhi aisi na thi

dekh Dale zindagi mein wasl-o-furqat ke tilism
gham kabhi aisa na tha rahat kabhi aisi na thi

aap ne bimar-pursi ki to jina hai wabaal
warna marne ki mujhe hasrat kabhi aisi na thi

ba-maza hai kis qadar inkar un ka wasl mein
tujh mein ai KHun-e-jigar lazzat kabhi aisi na thi

dil ko kya samjha diya naumidi-e-jawed ne
parda-dar-e-gham shab-e-furqat kabhi aisi na thi

zindagi ki kashmakash se mar ke pai kuchh najat
is se pahle ai 'nazar' fursat kabhi aisi na thi

(555) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

More Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Poetry

ہجر میں ناشاد دنیا سے دل مضطر گیا

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Hijr Mein Nashad Duniya Se Dil-e-muztar Gaya

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

کوئی ارماں تلاش دوست کا کیوں دل میں رہ جاتا

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Koi Arman Talash-e-dost Ka Kyun Dil Mein Rah Jata

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

ضبط سے دل نزار رہتا ہے

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Zabt Se Dil Nazar Rahta Hai

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

بعد مدت جو میں اے چرخ کہن یاد آیا

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Baad Muddat Jo Main Ai Charkh-e-kuhan Yaad Aaya

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

دیکھنا ہے کس میں اچھی شکل آتی ہے نظر (ردیف .. ہ)

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Dekhna Hai Kis Mein Achchhi Shakl Aati Hai Nazar

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

رہا کرتے ہیں مے خانوں میں ہم پیر مغاں ہو کر

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Raha Karte Hain Mai-khanon Mein Hum Pir-e-mughan Ho Kar

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

تمہید تھی جنوں کی گریباں ہوا جو چاک (ردیف .. ا)

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Tamhid Thi Junun Ki Gareban Hua Jo Chaak

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

معنی طراز عشق ہر اک بادہ خوار تھا

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Mani-taraaz-e-ishq Har Ek Baada-khwar Tha

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

You can read Karobar-e-ishq Ki Kasrat Kabhi Aisi Na Thi written by Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi at UrduPoint. Karobar-e-ishq Ki Kasrat Kabhi Aisi Na Thi is one of the masterpieces written by Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi' above.

Karobar-e-ishq Ki Kasrat Kabhi Aisi Na Thi is a widely read Urdu Ghazal. If you like Karobar-e-ishq Ki Kasrat Kabhi Aisi Na Thi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.