Raha Karte Hain Mai-KHanon Mein Hum Pir-e-mughan Ho Kar, Urdu Ghazal By Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

Raha Karte Hain Mai-KHanon Mein Hum Pir-e-mughan Ho Kar is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi. Raha Karte Hain Mai-KHanon Mein Hum Pir-e-mughan Ho Kar comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Raha Karte Hain Mai-KHanon Mein Hum Pir-e-mughan Ho Kar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

رہا کرتے ہیں مے خانوں میں ہم پیر مغاں ہو کر

منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

رہا کرتے ہیں مے خانوں میں ہم پیر مغاں ہو کر

طبیعت زندہ دل رکھتی ہے پیری میں جواں ہو کر

چھپے تھے قبر میں گردش زدہ کیا شادماں ہو کر

یہاں بھی ساتھ ہے دوران سرکا آسماں ہو کر

ہوا ہے شہرہ داغوں کا نثار گل رخاں ہو کر

اڑی بوئے وفا میری نسیم بوستاں ہو کر

جھکے گی رفتہ رفتہ شاخ نخل قد کماں ہو کر

کھنچے گا طول فرقت کا زہ تیر فغاں ہو کر

مشابہ کر دیا کیوں ضعف نے ان کی نزاکت سے

مجھے خود اپنے اوپر رشک آیا ناتواں ہو کر

گئی رونق بھی چہرے کی حواس و عقل جاتے ہیں

اڑا سب رنگ رخ وحشت میں گرد کارواں ہو کر

زمیں پر سوزش غم سے گرے گا آسماں جل کر

شرار دل چلا سر حلقۂ دور فغاں ہو کر

تصدق ان پہ ہوتا ہوں جو شعلے دل سے اٹھتے ہیں

بسر کرتا ہوں میں پروانۂ شمع فغاں ہو کر

فنا ہو کر کہیں مٹتی ہے یا رب شورش وحشت

فغاں کرتا ہوں میں زنجیر باب لا مکاں ہو کر

خدا سمجھے ہماری آہ سوزاں سے جدائی میں

کہ ساری دل کی طاقت اڑ گئی منہ سے دھواں ہو کر

دل نالاں نے ہم سایوں کو بھی دشمن کیا اپنا

رہا کرتے ہیں ہم بتیس دانتوں میں زباں ہو کر

ہمیشہ سے نظرؔ ہم محو یاد روئے روشن ہیں

چمک اس درد کی رسی سے ہم دل میں نور جاں ہو کر

منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Raha Karte Hain Mai-KHanon Mein Hum Pir-e-mughan Ho Kar

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

raha karte hain mai-KHanon mein hum pir-e-mughan ho kar
tabiat zinda-dil rakhti hai piri mein jawan ho kar

chhupe the qabr mein gardish-zada kya shadman ho kar
yahan bhi sath hai dauran-e-sarka aasman ho kar

hua hai shohra daghon ka nisar-e-gul-ruKHan ho kar
uDi bu-e-wafa meri nasim-e-bostan ho kar

jhukegi rafta rafta shaKH-e-naKHl-e-qad kaman ho kar
khinchega tul furqat ka zah-e-tir-e-fughan ho kar

mushabah kar diya kyun zoaf ne un ki nazakat se
mujhe KHud apne upar rashk aaya na-tawan ho kar

gai raunaq bhi chehre ki hawas-o-aql jate hain
uDa sab rang-e-ruKH wahshat mein gard-e-karwan ho kar

zamin par sozish-e-gham se girega aasman jal kar
sharar-e-dil chala sar halqa-e-daur-e-fughan ho kar

tasadduq un pe hota hun jo shoale dil se uThte hain
basar karta hun main parwana-e-sham-e-fughan ho kar

fana ho kar kahin miTti hai yarab shorish-e-wahshat
fughan karta hun main zanjir-e-bab-e-la-makan ho kar

KHuda samjhe hamari aah-e-sozan se judai mein
ki sari dil ki taqat uD gai munh se dhuan ho kar

dil-e-nalan ne ham-sayon ko bhi dushman kiya apna
raha karte hain hum battis danton mein zaban ho kar

hamesha se 'nazar' hum mahw-e-yaad-e-ru-e-raushan hain
chamak is dard ki rassi se hum dil mein nur-e-jaan ho kar

(486) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

More Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Poetry

وہ نگاہ شرمگیں ہو یا کسی کا انکسار (ردیف .. ا)

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Wo Nigah-e-sharmagin Ho Ya Kisi Ka Inkisar

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

ہاتھ رکھتے ہی تھا حال قلب مضطر آئینہ

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Hath Rakhte Hi Tha Haal-e-qalb-e-muztar Aaina

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

کوئی مجھ سا مستحق رحم و غم خواری نہیں

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Koi Mujh Sa Mustahiqq-e-rahm-o-gham-khwari Nahin

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

پس توبہ حدیث مطرب و پیمانہ کہتے ہیں

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Pas-e-tauba Hadis-e-mutrib-o-paimana Kahte Hain

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

مجسم داغ حسرت ہوں سراپا نقش عبرت کا

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Mujassam Dagh-e-hasrat Hun Sarapa Naqsh-e-ibrat Ka

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

وہ شمع نہیں ہیں کہ ہوں اک رات کے مہماں (ردیف .. ی)

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Wo Shama Nahin Hain Ki Hon Ek Raat Ke Mehman

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

کھینچ کر یوں لے چلی وحشت بیاباں کی طرف

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Khinch Kar Yun Le Chali Wahshat Bayaban Ki Taraf

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

دیکھنا ہے کس میں اچھی شکل آتی ہے نظر (ردیف .. ہ)

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Dekhna Hai Kis Mein Achchhi Shakl Aati Hai Nazar

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

You can read Raha Karte Hain Mai-KHanon Mein Hum Pir-e-mughan Ho Kar written by Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi at UrduPoint. Raha Karte Hain Mai-KHanon Mein Hum Pir-e-mughan Ho Kar is one of the masterpieces written by Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi' above.

Raha Karte Hain Mai-KHanon Mein Hum Pir-e-mughan Ho Kar is a widely read Urdu Ghazal. If you like Raha Karte Hain Mai-KHanon Mein Hum Pir-e-mughan Ho Kar, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.