Koi Arman Talash-e-dost Ka Kyun Dil Mein Rah Jata, Urdu Ghazal By Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

Koi Arman Talash-e-dost Ka Kyun Dil Mein Rah Jata is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi. Koi Arman Talash-e-dost Ka Kyun Dil Mein Rah Jata comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Koi Arman Talash-e-dost Ka Kyun Dil Mein Rah Jata on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کوئی ارماں تلاش دوست کا کیوں دل میں رہ جاتا

منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

کوئی ارماں تلاش دوست کا کیوں دل میں رہ جاتا

غبار اپنا اگر گرد رہ منزل میں رہ جاتا

نہیں معلوم کس مدت سے خنجر تشنۂ خوں تھا

کوئی خطرہ لہو کا کیوں تن بسمل میں رہ جاتا

صفائی کب تھی ممکن یہ غبار دل وہ کافر ہے

مرے دل سے نکلتا بھی تو اس کے دل میں رہ جاتا

جلا اور جل کے سوز رشک سے دل بجھ گیا فوراً

اگر ہوتا چراغ و شمع اس محفل میں رہ جاتا

تأسف ہے غبار قیس کی پرواز حسرت پر

لپٹ کر کاش تھوڑا پردۂ محمل میں رہ جاتا

نہ دیتا گر سہارا کچھ امید وصل کا طوفاں

شناور بحر غم کا حسرت ساحل میں رہ جاتا

اس آئینے میں گر وہ دیکھ لیتے روئے انور کو

تو کیوں اتنا بڑا دھبہ مہ کامل میں رہ جاتا

نہ ملتا مدعائے دل درم ملتا جو منعم سے

مگر اک داغ بن کر وہ کف سائل میں رہ جاتا

نشاں اس کا کہیں ملتا سراغ اس کا کہیں لگتا

تو اپنا پاؤں کیوں تھک کر رہ منزل میں رہ جاتا

نظرؔ ہم کو علاقہ شعر سے کیا پر یہ حسرت ہے

نہ رہتے ہم تو اپنا ذکر اس محفل میں رہ جاتا

منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Koi Arman Talash-e-dost Ka Kyun Dil Mein Rah Jata

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

koi arman talash-e-dost ka kyun dil mein rah jata
ghubar apna agar gard-e-rah-e-manzil mein rah jata

nahin malum kis muddat se KHanjar tishna-e-KHun tha
koi KHatra lahu ka kyun tan-e-bismil mein rah jata

safai kab thi mumkin ye ghubar-e-dil wo kafir hai
mere dil se nikalta bhi to us ke dil mein rah jata

jala aur jal ke soz-e-rashk se dil bujh gaya fauran
agar hota charagh-o-shama us mahfil mein rah jata

tassuf hai ghubar-e-qais ki parwaz-e-hasrat par
lipaT kar kash thoDa parda-e-mahmil mein rah jata

na deta gar sahaara kuchh umid-e-wasl ka tufan
shanawar bahr-e-gham ka hasrat-e-sahil mein rah jata

is aaine mein gar wo dekh lete ru-e-anwar ko
to kyun itna baDa dhabba mah-e-kaamil mein rah jata

na milta muddaa-e-dil diram milta jo munim se
magar ek dagh ban kar wo kaf-e-sail mein rah jata

nishan us ka kahin milta suragh us ka kahin lagta
to apna panw kyun thak kar rah-e-manzil mein rah jata

'nazar' hum ko ilaqa sher se kya par ye hasrat hai
na rahte hum to apna zikr us mahfil mein rah jata

(525) ووٹ وصول ہوئے

More Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Poetry

You can read Koi Arman Talash-e-dost Ka Kyun Dil Mein Rah Jata written by Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi at UrduPoint. Koi Arman Talash-e-dost Ka Kyun Dil Mein Rah Jata is one of the masterpieces written by Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi' above.

Koi Arman Talash-e-dost Ka Kyun Dil Mein Rah Jata is a widely read Urdu Ghazal. If you like Koi Arman Talash-e-dost Ka Kyun Dil Mein Rah Jata, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.