KHugar-e-lazzat Hun Main Kis ShoKH Ki Tazir Ka, Urdu Ghazal By Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

KHugar-e-lazzat Hun Main Kis ShoKH Ki Tazir Ka is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi. KHugar-e-lazzat Hun Main Kis ShoKH Ki Tazir Ka comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHugar-e-lazzat Hun Main Kis ShoKH Ki Tazir Ka on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خوگر لذت ہوں میں کس شوخ کی تعزیر کا

منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

خوگر لذت ہوں میں کس شوخ کی تعزیر کا

دل کو حسرت ہے کہ پہلو ڈھونڈئیے تقصیر کا

تھا مرا ہنگامۂ وحشت ازل سے پیشتر

عرش کی زنجیر ٹکڑا ہے مری زنجیر کا

مر گیا زنداں میں جب میں وحشیٔ آتش نفس

بجھ گیا شعلہ چراغ خانۂ زنجیر کا

سخت جانی سے دل مضطر جو تڑپا وقت قتل

بن گیا سنگ فساں قاتل تری شمشیر کا

ہو کے بسمل آرزوئے گفتگو قاتل سے ہے

ہر دہان زخم نقشہ ہے لب تقریر کا

اتنی ہے مشق تصور انتظار قتل میں

مردمک ہے آنکھ میں جوہر تری شمشیر کا

جان کر ٹھنڈی ہوا وہ چین سے سوتے تو ہیں

دم بھروں کیوں کر نہ آہ سرد بے تاثیر کا

ہوتا ہے انسان پیدا واسطے فریاد کے

یہ اشارہ ہے سریر خامۂ تحریر کا

روح آ جاتی ہے تن میں تیغ عریاں دیکھ کر

مرغ جاں بلبل ہے باغ جوہر شمشیر کا

آج تک آواز آتی ہے دہان گور سے

ہے یہ مدفن کشتۂ تیغ لب تقریر کا

اور دونا غم اٹھایا کی مٹانے کی جو فکر

داغ حسرت ہو گیا لکھا مری تقدیر کا

رفتہ رفتہ یوں گھلایا قید میں غم نے نظرؔ

طوق گردن پاؤں میں حلقہ بنا زنجیر کا

منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHugar-e-lazzat Hun Main Kis ShoKH Ki Tazir Ka

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

KHugar-e-lazzat hun main kis shoKH ki tazir ka
dil ko hasrat hai ki pahlu DhunDiye taqsir ka

tha mera hangama-e-wahshat azal se peshtar
arsh ki zanjir TukDa hai meri zanjir ka

mar gaya zindan mein jab main wahshi-e-atish-nafas
bujh gaya shoala charagh-e-KHana-e-zanjir ka

saKHt-jaani se dil-e-muztar jo taDpa waqt-e-qatl
ban gaya sang-e-fasan qatil teri shamshir ka

ho ke bismil aarzu-e-guftagu qatil se hai
har dahan-e-zaKHm naqsha hai lab-e-taqrir ka

itni hai mashq-e-tasawwur intizar-e-qatl mein
mardumak hai aankh mein jauhar teri shamshir ka

jaan kar ThanDi hawa wo chain se sote to hain
dam bharun kyun-kar na aah-e-sard-e-be-tasir ka

hota hai insan paida waste fariyaad ke
ye ishaara hai sarir-e-KHama-e-tahrir ka

ruh aa jati hai tan mein tegh-e-uryan dekh kar
murgh-e-jaan bulbul hai bagh-e-jauhar-e-shamshir ka

aaj tak aawaz aati hai dahan-e-gor se
hai ye madfan kushta-e-tegh-e-lab-e-taqrir ka

aur duna gham uThaya ki miTane ki jo fikr
dagh-e-hasrat ho gaya likkha meri taqdir ka

rafta rafta yun ghulaya qaid mein gham ne 'nazar'
tauq-e-gardan panw mein halqa bana zanjir ka

(552) ووٹ وصول ہوئے

More Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Poetry

بننے لگے ہیں داغ ستارے خوشا نصیب (ردیف .. ا)

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Banne Lage Hain Dagh Sitare Khusha Nasib

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

جو مدتوں میں کسی شوخ کا شباب آیا

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Jo Muddaton Mein Kisi Shokh Ka Shabab Aaya

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

یا دل ہے مرا یا ترا نقش کف پا ہے

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Ya Dil Hai Mera Ya Tera Naqsh-e-kaf-e-pa Hai

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

بعد مدت جو میں اے چرخ کہن یاد آیا

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Baad Muddat Jo Main Ai Charkh-e-kuhan Yaad Aaya

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

کچھ خوشی سے ہمیں عشق ستم ایجاد نہیں

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Kuchh Khushi Se Hamin Ishq-e-sitam-ijad Nahin

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

تم ایسے بے خبر بھی شاذ ہوں گے اس زمانے میں (ردیف .. ا)

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Tum Aise Be-khabar Bhi Shaz Honge Is Zamane Mein

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

ہاتھ رکھتے ہی تھا حال قلب مضطر آئینہ

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Hath Rakhte Hi Tha Haal-e-qalb-e-muztar Aaina

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

ضبط سے دل نزار رہتا ہے

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Zabt Se Dil Nazar Rahta Hai

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

You can read KHugar-e-lazzat Hun Main Kis ShoKH Ki Tazir Ka written by Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi at UrduPoint. KHugar-e-lazzat Hun Main Kis ShoKH Ki Tazir Ka is one of the masterpieces written by Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi' above.

KHugar-e-lazzat Hun Main Kis ShoKH Ki Tazir Ka is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHugar-e-lazzat Hun Main Kis ShoKH Ki Tazir Ka, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.