Khinch Kar Yun Le Chali Wahshat Bayaban Ki Taraf, Urdu Ghazal By Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

Khinch Kar Yun Le Chali Wahshat Bayaban Ki Taraf is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi. Khinch Kar Yun Le Chali Wahshat Bayaban Ki Taraf comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Khinch Kar Yun Le Chali Wahshat Bayaban Ki Taraf on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کھینچ کر یوں لے چلی وحشت بیاباں کی طرف

منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

کھینچ کر یوں لے چلی وحشت بیاباں کی طرف

لائیں جیسے طفل بد خو کو دبستاں کی طرف

فیض وحشت کا ادائے شکر جب واجب ہوا

سر جھکایا ہم نے محراب گریباں کی طرف

حاصل جوش جنوں ہے ماتم ہوش و خرد

خاک اڑاتے جاتے ہیں وحشی بیاباں کی طرف

عقل کے تیغ جنون تیز سے کوچے کٹے

کون آئے جادۂ چاک گریباں کی طرف

کر چکا جوش جنوں جنس خرد پر ہاتھ صاف

لوٹ اب آتی ہے بازار گریباں کی طرف

عشق کے مکتب میں جب آیا پئے درس جنوں

پہلے ہی انگلی اٹھی نون گریباں کی طرف

مائل زیور ہوا جب وہ حسین جامہ زیب

چاند آیا چرخ سے طوق گریباں کی طرف

ہوش میں آتے ہیں دیوانے گئی فصل بہار

دشت وحشت چھپ رہے پشت گریباں کی طرف

ناخن غم کا نشاں دل پر ہے مثل ماہ نو

انگلیاں اٹھتی ہیں اس زخم نمایاں کی طرف

جب کسی عاشق نے کچھ حال پریشانی کہا

ہنس دئے منہ پھیر کر زلف پریشاں کی طرف

ضعف میں جی کھول کر رونے کی حسرت ہے مجھے

دیکھتا ہے یاس سے ہر اشک داماں کی طرف

شمع کے شعلے ستم کرتے ہیں مثل برق طور

دیکھتا ہوں جب نظرؔ بزم حسیناں کی طرف

منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Khinch Kar Yun Le Chali Wahshat Bayaban Ki Taraf

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

khinch kar yun le chali wahshat bayaban ki taraf
laen jaise tifl-e-bad-KHu ko dabistan ki taraf

faiz wahshat ka ada-e-shukr jab wajib hua
sar jhukaya hum ne mehrab-e-gareban ki taraf

hasil-e-josh-e-junun hai matam-e-hosh-o-KHirad
KHak uDate jate hain wahshi bayaban ki taraf

aql ke tegh-e-junun-e-tez se kuche kaTe
kaun aae jada-e-chaak-e-gareban ki taraf

kar chuka josh-e-junun jins-e-KHirad par hath saf
lauT ab aati hai bazar-e-gareban ki taraf

ishq ke maktab mein jab aaya paye dars-e-junun
pahle hi ungli uThi nun-e-gareban ki taraf

mail-e-zewar hua jab wo hasin-e-jama-zeb
chand aaya charKH se tauq-e-gareban ki taraf

hosh mein aate hain diwane gai fasl-e-bahaar
dasht-e-wahshat chhup rahe pusht-e-gareban ki taraf

naKHun-e-gham ka nishan dil par hai misl-e-mah-e-nau
ungliyan uThti hain us zaKHm-e-numayan ki taraf

jab kisi aashiq ne kuchh haal-e-pareshani kaha
hans diye munh pher kar zulf-e-pareshan ki taraf

zoaf mein ji khol kar rone ki hasrat hai mujhe
dekhta hai yas se har ashk daman ki taraf

shama ke shoale sitam karte hain misl-e-barq-e-tur
dekhta hun jab 'nazar' bazm-e-hasinan ki taraf

(489) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

More Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Poetry

ان کی رخصت اک قیامت تھی دم اظہار صبح

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Unki Rukhsat Ek Qayamat Thi Dam-e-izhaar-e-subh

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

تمہید تھی جنوں کی گریباں ہوا جو چاک (ردیف .. ا)

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Tamhid Thi Junun Ki Gareban Hua Jo Chaak

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

کوئی مجھ سا مستحق رحم و غم خواری نہیں

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Koi Mujh Sa Mustahiqq-e-rahm-o-gham-khwari Nahin

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

ترے وعدے کا ہر اک کو اگر اعتبار ہوتا

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Tere Wade Ka Har Ek Ko Agar Etibar Hota

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

شوق دل فکر دہن میں ہے جو رہبر کی طرح

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Shauq-e-dil Fikr-e-dahan Mein Hai Jo Rahbar Ki Tarah

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

رہا کرتے ہیں مے خانوں میں ہم پیر مغاں ہو کر

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Raha Karte Hain Mai-khanon Mein Hum Pir-e-mughan Ho Kar

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

مجسم داغ حسرت ہوں سراپا نقش عبرت کا

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Mujassam Dagh-e-hasrat Hun Sarapa Naqsh-e-ibrat Ka

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

گفتگو کی تم سے عادت ہو گئی ہے ورنہ میں (ردیف .. ی)

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Guftugu Ki Tum Se Aadat Ho Gai Hai Warna Mein

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

You can read Khinch Kar Yun Le Chali Wahshat Bayaban Ki Taraf written by Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi at UrduPoint. Khinch Kar Yun Le Chali Wahshat Bayaban Ki Taraf is one of the masterpieces written by Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi' above.

Khinch Kar Yun Le Chali Wahshat Bayaban Ki Taraf is a widely read Urdu Ghazal. If you like Khinch Kar Yun Le Chali Wahshat Bayaban Ki Taraf, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.