Ho Juda Ai Chaara-gar Hai Mujhko Aazar-e-firaq, Urdu Ghazal By Qalaq Merathi

Ho Juda Ai Chaara-gar Hai Mujhko Aazar-e-firaq is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Qalaq Merathi. Ho Juda Ai Chaara-gar Hai Mujhko Aazar-e-firaq comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ho Juda Ai Chaara-gar Hai Mujhko Aazar-e-firaq on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہو جدا اے چارہ گر ہے مجھ کو آزار فراق

قلق میرٹھی

ہو جدا اے چارہ گر ہے مجھ کو آزار فراق

بے وصال اچھا ہوا بھی کوئی بیمار فراق

شوخیٔ پردہ نشیں کی عشوہ سازی دیکھنا

دل ہے بدمست وصال اور دیدہ بیدار فراق

ایک نالے میں پھرے گا مہر و مہ کو ڈھونڈھتا

اے فلک مت چھیڑ مجھ کو ہوں عزا دار فراق

وصل تھی میری سزا ہجر انتقام غیر تھا

کب ہوا خو کردۂ ہجراں گرفتار فراق

کوئی کرتا ہے خطا اور کوئی پاتا ہے سزا

غیر گستاخ وصال اور میں سزاوار فراق

دم بہ دم بجلی گرے یا نہر خوں جاری رہے

التیام اس سینے کا کیا جو ہے افگار فراق

آنکھ کب لگتی ہے حیلے سے جو تجھ سے لگ گئی

داستان وصل کب سنتا ہے بیدار فراق

دام میں صیاد کے کیوں کہ نہ بلبل مر رہے

دامن ہر برگ گل میں تھا نہاں خار فراق

سو بہار آئے مگر جاتا ہے کوئی داغ دل

لالہ و گل کا نہیں مشتاق خوں بار فراق

اب قلقؔ ٹھوکر سے تیری جی چکا مرنے کے بعد

آشنائے وصل کب ہو ناز بردار فراق

قلق میرٹھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ho Juda Ai Chaara-gar Hai Mujhko Aazar-e-firaq

Qalaq Merathi

ho juda ai chaara-gar hai mujh ko aazar-e-firaq
be-visal achchha hua bhi koi bimar-e-firaq

shoKHi-e-parda-nashin ki ishwa-sazi dekhna
dil hai badmast-e-visal aur dida bedar-e-firaq

ek nale mein phirega mehr-o-mah ko DhunDhta
ai falak mat chheD mujh ko hun aza-dar-e-firaq

wasl thi meri saza hijr intiqam-e-ghair tha
kab hua KHu-karda-e-hijran giraftar-e-firaq

koi karta hai KHata aur koi pata hai saza
ghair gustaKH-e-visal aur main saza-war-e-firaq

dam-ba-dam bijli gire ya nahr-e-KHun jari rahe
iltiyam is sine ka kya jo hai afgar-e-firaq

aankh kab lagti hai hile se jo tujh se lag gai
dastan-e-wasl kab sunta hai bedar-e-firaq

dam mein sayyaad ke kyun ki na bulbul mar rahe
daman-e-har-barg-e-gul mein tha nihan KHar-e-firaq

sau bahaar aae magar jata hai koi dagh-e-dil
lala-o-gul ka nahin mushtaq KHun-bar-e-firaq

ab 'qalaq' Thokar se teri ji chuka marne ke baad
aashna-e-wasl kab ho naz-bardar-e-firaq

(384) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ho Juda Ai Chaara-gar Hai Mujhko Aazar-e-firaq written by Qalaq Merathi at UrduPoint. Ho Juda Ai Chaara-gar Hai Mujhko Aazar-e-firaq is one of the masterpieces written by Qalaq Merathi. You can also find the complete poetry collection of Qalaq Merathi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qalaq Merathi' above.

Ho Juda Ai Chaara-gar Hai Mujhko Aazar-e-firaq is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ho Juda Ai Chaara-gar Hai Mujhko Aazar-e-firaq, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.