Raqs-e-shabab-o-rang-e-bahaaran Nazar Mein Hai, Urdu Ghazal By Ram Krishn Muztar

Raqs-e-shabab-o-rang-e-bahaaran Nazar Mein Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ram Krishn Muztar. Raqs-e-shabab-o-rang-e-bahaaran Nazar Mein Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Raqs-e-shabab-o-rang-e-bahaaran Nazar Mein Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

رقص شباب و رنگ بہاراں نظر میں ہے

رام کرشن مضطر

رقص شباب و رنگ بہاراں نظر میں ہے

یہ تم نظر میں ہو کہ گلستاں نظر میں ہے

اک روشنی سے عالم دل جگمگا اٹھا

وہ ہیں کہ آفتاب درخشاں نظر میں ہے

اہل جنوں سے کیجیے اب چاک دل کی بات

دامن نظر میں ہے نہ گریباں نظر میں ہے

ان کے کرم سے بڑھنے لگے دل کے حوصلے

انداز التفات فراواں نظر میں ہے

سو حسن لے کے آئی ہے دنیائے آرزو

آرائش حیات کا ساماں نظر میں ہے

بڑھتی ہی جا رہی ہیں مری بے قراریاں

جب سے کسی کی زلف پریشاں نظر میں ہے

نظارۂ جمال کئے دیر ہو چکی

اب تک فروغ بزم حسیناں نظر میں ہے

حلقہ بنا کے ناچ رہی ہیں تجلیاں

کس مہ جبیں کا چہرۂ تاباں نظر میں ہے

شاید اسی کے دم سے ہے قائم امید زیست

اک جاں فروز شمع فروزاں نظر میں ہے

ہم بھی نگاہ دوست سے نا آشنا نہیں

ہر انقلاب گردش دوراں نظر میں ہے

مضطرؔ کو اپنے بخت رسا پر ہے آج ناز

آقا‌ حسنؔ کی بزم گل افشاں نظر میں ہے

رام کرشن مضطر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Raqs-e-shabab-o-rang-e-bahaaran Nazar Mein Hai

Ram Krishn Muztar

raqs-e-shabab-o-rang-e-bahaaran nazar mein hai
ye tum nazar mein ho ki gulistan nazar mein hai

ek raushni se aalam-e-dil jagmaga uTha
wo hain ki aaftab-e-daraKHshan nazar mein hai

ahl-e-junun se kijiye ab chaak-e-dil ki baat
daman nazar mein hai na gareban nazar mein hai

un ke karam se baDhne lage dil ke hausle
andaz-e-iltifat-e-farawan nazar mein hai

sau husn le ke aai hai duniya-e-arzu
aaraish-e-hayat ka saman nazar mein hai

baDhti hi ja rahi hain meri be-qarariyan
jab se kisi ki zulf-e-pareshan nazar mein hai

nazzara-e-jamal kiye der ho chuki
ab tak farogh-e-bazm-e-hasinan nazar mein hai

halqa bana ke nach rahi hain tajalliyan
kis mah-jabin ka chehra-e-taban nazar mein hai

shayad usi ke dam se hai qaem ummid-e-zist
ek jaan-faroz sham-e-farozan nazar mein hai

hum bhi nigah-e-dost se na-ashna nahin
har inqilab-e-gardish-e-dauran nazar mein hai

'muztar' ko apne baKHt-e-rasa par hai aaj naz
aaqa-'hasan' ki bazm-e-gul-afshan nazar mein hai

(483) ووٹ وصول ہوئے

You can read Raqs-e-shabab-o-rang-e-bahaaran Nazar Mein Hai written by Ram Krishn Muztar at UrduPoint. Raqs-e-shabab-o-rang-e-bahaaran Nazar Mein Hai is one of the masterpieces written by Ram Krishn Muztar. You can also find the complete poetry collection of Ram Krishn Muztar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ram Krishn Muztar' above.

Raqs-e-shabab-o-rang-e-bahaaran Nazar Mein Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Raqs-e-shabab-o-rang-e-bahaaran Nazar Mein Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.