Aisa Nahin Tha Asl Mein Jaisa Bana Liya, Urdu Ghazal By Saba Tabish

Aisa Nahin Tha Asl Mein Jaisa Bana Liya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saba Tabish. Aisa Nahin Tha Asl Mein Jaisa Bana Liya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aisa Nahin Tha Asl Mein Jaisa Bana Liya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ایسا نہیں تھا اصل میں جیسا بنا لیا

صبا تابش

ایسا نہیں تھا اصل میں جیسا بنا لیا

دل نے کسی کی یاد کا چہرہ بنا لیا

پہلی نشست آبلہ پاؤں میں میری ہے

مجنوں کو میں نے دشت میں چیلا بنا لیا

کھینچی ہے اپنے خون سے نقشے پہ اک لکیر

جنگل میں اپنی مرضی کا رستہ بنا لیا

میرے لیے تو ان میں کوئی فرق ہے نہیں

جب چاہا اپنی بیٹی کو بیٹا بنا لیا

محروم یوں ہوئی ہوں میں اس در کے سامنے

مکڑی نے میرے ہونٹوں پہ جالا بنا لیا

ان میں کشش عجیب تھی دریا دلی کے ساتھ

لوگوں نے دشت زادوں کو آقا بنا لیا

چمکا تھا ایک جگنو مرے دل کے آس پاس

اب جس کو سب نے آنکھ کا تارہ بنا لیا

گھر میں جگہ ہے اس کی نہ ہے گھاٹ میں جگہ

قسمت کو ہم نے دھوبی کا کتا بنا لیا

ہم نے وہاں فروخت کی تھی وحشتیں صباؔ

دنیا نے جس دکان میں کھاتا بنا لیا

صبا تابش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aisa Nahin Tha Asl Mein Jaisa Bana Liya

Saba Tabish

aisa nahin tha asl mein jaisa bana liya
dil ne kisi ki yaad ka chehra bana liya

pahli nashist aabla-paon mein meri hai
majnun ko main ne dasht mein chela bana liya

khinchi hai apne KHun se naqshe pe ek lakir
jangal mein apni marzi ka rasta bana liya

mere liye to in mein koi farq hai nahin
jab chaha apni beTi ko beTa bana liya

mahrum yun hui hun main us dar ke samne
makDi ne mere honTon pe jala bana liya

un mein kashish ajib thi dariya-dili ke sath
logon ne dasht-zadon ko aaqa bana liya

chamka tha ek jugnu mere dil ke aas-pas
ab jis ko sab ne aankh ka tara bana liya

ghar mein jagah hai us ki na hai ghaT mein jagah
qismat ko hum ne dhobi ka kutta bana liya

hum ne wahan faroKHt ki thi wahshaten 'saba'
duniya ne jis dukan mein khata bana liya

(736) ووٹ وصول ہوئے

You can read Aisa Nahin Tha Asl Mein Jaisa Bana Liya written by Saba Tabish at UrduPoint. Aisa Nahin Tha Asl Mein Jaisa Bana Liya is one of the masterpieces written by Saba Tabish. You can also find the complete poetry collection of Saba Tabish by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saba Tabish' above.

Aisa Nahin Tha Asl Mein Jaisa Bana Liya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aisa Nahin Tha Asl Mein Jaisa Bana Liya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.