Aankh Tumhaari Mast Bhi Hai Aur Masti Ka Paimana Bhi, Urdu Ghazal By Saghar Nizami

Aankh Tumhaari Mast Bhi Hai Aur Masti Ka Paimana Bhi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saghar Nizami. Aankh Tumhaari Mast Bhi Hai Aur Masti Ka Paimana Bhi comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aankh Tumhaari Mast Bhi Hai Aur Masti Ka Paimana Bhi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آنکھ تمہاری مست بھی ہے اور مستی کا پیمانہ بھی

ساغر نظامی

آنکھ تمہاری مست بھی ہے اور مستی کا پیمانہ بھی

ایک چھلکتے ساغر میں مے بھی ہے اور مے خانہ بھی

بے خودیٔ دل کا کیا کہنا سب کچھ ہے اور کچھ بھی نہیں

ہستی سے مانوس بھی ہوں ہستی سے بیگانہ بھی

حسن نے تیرے دنیا میں کیسی آگ لگا دی ہے

برق بھی شعلہ برپا ہے رقص میں ہے پروانہ بھی

وسعت وحشت تنگ ہوئی بگڑا گھر دیوانوں کا

نجد کے اک سودائی نے لوٹ لیا ویرانہ بھی

آج محبت رسوا ہے ہاتھوں سے ہوشیاروں کے

عشق کی پہلی دنیا میں تھا کوئی دیوانہ بھی

دل کی دنیا ہلتی ہے روکو اپنی نظروں کو

کافر لوٹے لیتی ہیں آج تجلی خانہ بھی

گردش مست نگاہوں کی آخر وجد انگیز ہوئی

چکر میں ساغرؔ بھی ہے دور میں ہے پیمانہ بھی

ساغر نظامی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aankh Tumhaari Mast Bhi Hai Aur Masti Ka Paimana Bhi

Saghar Nizami

aankh tumhaari mast bhi hai aur masti ka paimana bhi
ek chhalakte saghar mein mai bhi hai aur mai-KHana bhi

be-KHudi-e-dil ka kya kahna sab kuchh hai aur kuchh bhi nahin
hasti se manus bhi hun hasti se begana bhi

husn ne tere duniya mein kaisi aag laga di hai
barq bhi shoala barpa hai raqs mein hai parwana bhi

wusat-e-wahshat tang hui bigDa ghar diwanon ka
najd ke ek saudai ne luT liya virana bhi

aaj mohabbat ruswa hai hathon se hoshyaron ke
ishq ki pahli duniya mein tha koi diwana bhi

dil ki duniya hilti hai roko apni nazron ko
kafir luTe leti hain aaj tajalli-KHana bhi

gardish mast nigahon ki aaKHir wajd-angez hui
chakkar mein 'saghar' bhi hai daur mein hai paimana bhi

(519) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aankh Tumhaari Mast Bhi Hai Aur Masti Ka Paimana Bhi written by Saghar Nizami at UrduPoint. Aankh Tumhaari Mast Bhi Hai Aur Masti Ka Paimana Bhi is one of the masterpieces written by Saghar Nizami. You can also find the complete poetry collection of Saghar Nizami by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saghar Nizami' above.

Aankh Tumhaari Mast Bhi Hai Aur Masti Ka Paimana Bhi is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aankh Tumhaari Mast Bhi Hai Aur Masti Ka Paimana Bhi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.