Aaina-e-ibrat Hai Mera Dil Bhi Jigar Bhi, Urdu Ghazal By Saqib Lakhnavi

Aaina-e-ibrat Hai Mera Dil Bhi Jigar Bhi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saqib Lakhnavi. Aaina-e-ibrat Hai Mera Dil Bhi Jigar Bhi comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aaina-e-ibrat Hai Mera Dil Bhi Jigar Bhi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آئینۂ عبرت ہے مرا دل بھی جگر بھی

ثاقب لکھنوی

آئینۂ عبرت ہے مرا دل بھی جگر بھی

اک درد کی تصویر ادھر بھی ہے ادھر بھی

کیا تم سے شکایت مجھے قسمت سے گلہ ہے

پھرتا ہے مقدر تو پلٹتی ہے نظر بھی

اس کو بھی نکال اے دل پر داغ کے گلچیں

کانٹا ہے مرے پہلوئے خالی میں جگر بھی

بس نالۂ دل بس مجھے امید نہیں ہے

منہ دیکھنے والوں میں ہے ظالم کے اثر بھی

ملنے سے بھی ان کے نہوی دل کو تسلی

وصلت کی مسرت بھی رہی صبح کا ڈر بھی

تھامے ہیں کلیجا وہ مرے دل کو دکھا کے

اک تیر کی تاثیر ادھر بھی ہے ادھر بھی

ہوش اڑتے ہیں گم گشتگیٔ اہل عدم سے

اس دشت‌‌ سیہ روز میں عنقا ہے خبر بھی

پس کر ترے ہاتھوں کی حنا جب سے ہوا دل

اک خون کا چلو نظر آتا ہے جگر بھی

ٹکڑے تھا کلیجا مرا خود جور فلک سے

پہلو سے گئی چھان کے دل ان کی نظر بھی

تنہائی فرقت میں کوئی پاس نہ ٹھہرا

رخصت ہوا آخر کو دعاؤں سے اثر بھی

ہر خوف سے پہلو کا بچانا نہیں اچھا

اے امن طلب حشر میں کام آئے گا ڈر بھی

کیا زخم دل امید رکھے اس سے کہ جس نے

دیکھا نہ کبھی چاک گریبان سحر بھی

روداد ہے کیا شہر خموشاں کی الٰہی

اس باب میں خاموش ہیں ارباب خبر بھی

تصویر بنا دیجیے مجھ کو کسی صورت

لے جائیے پہلو سے مرا دل بھی جگر بھی

سد حادثۂ دہر کی ٹوٹی نہ اجل سے

جاتی نہیں ان تک مرے مرنے کی خبر بھی

یہ حکم محبت ہے کہ دل اس پہ فدا ہے

ثاقبؔ جسے دیکھا نہ کبھی ایک نظر بھی

ثاقب لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aaina-e-ibrat Hai Mera Dil Bhi Jigar Bhi

Saqib Lakhnavi

aaina-e-ibrat hai mera dil bhi jigar bhi
ek dard ki taswir idhar bhi hai udhar bhi

kya tum se shikayat mujhe qismat se gila hai
phirta hai muqaddar to palaTti hai nazar bhi

us ko bhi nikal ai dil-e-pur-dagh ke gulchin
kanTa hai mere pahlu-e-KHali mein jigar bhi

bas nala-e-dil bas mujhe ummid nahin hai
munh dekhne walon mein hai zalim ke asar bhi

milne se bhi un ke na-howe dil ko tasalli
waslat ki masarrat bhi rahi subh ka Dar bhi

thame hain kaleja wo mere dil ko dukha ke
ek tir ki tasir idhar bhi hai udhar bhi

hosh uDte hain gum-gashtagi-e-ahl-e-adam se
is dasht-e-siyah-roz mein anqa hai KHabar bhi

pis kar tere hathon ki hina jab se hua dil
ek KHun ka chullu nazar aata hai jigar bhi

TukDe tha kaleja mera KHud jaur-e-falak se
pahlu se gai chhan ke dil un ki nazar bhi

tanhai-e-furqat mein koi pas na Thahra
ruKHsat hua aaKHir ko duaon se asar bhi

har KHauf se pahlu ka bachana nahin achchha
ai amn-talab hashr mein kaam aaega Dar bhi

kya zaKHm-e-dil ummid rakhe us se ki jis ne
dekha na kabhi chaak-e-gareban-e-sahar bhi

rudad hai kya shahr-e-KHamoshan ki ilahi
is bab mein KHamosh hain arbab-e-KHabar bhi

taswir bana dijiye mujh ko kisi surat
le jaiye pahlu se mera dil bhi jigar bhi

sad hadsa-e-dahr ki TuTi na ajal se
jati nahin un tak mere marne ki KHabar bhi

ye hukm-e-mohabbat hai ki dil us pe fida hai
'saqib' jise dekha na kabhi ek nazar bhi

(399) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aaina-e-ibrat Hai Mera Dil Bhi Jigar Bhi written by Saqib Lakhnavi at UrduPoint. Aaina-e-ibrat Hai Mera Dil Bhi Jigar Bhi is one of the masterpieces written by Saqib Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Saqib Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saqib Lakhnavi' above.

Aaina-e-ibrat Hai Mera Dil Bhi Jigar Bhi is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aaina-e-ibrat Hai Mera Dil Bhi Jigar Bhi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.