Kali GhaTa Kab Aaegi Fasl-e-bahaar Mein, Urdu Ghazal By Sardar Genda Singh Mashriqi

Kali GhaTa Kab Aaegi Fasl-e-bahaar Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sardar Genda Singh Mashriqi. Kali GhaTa Kab Aaegi Fasl-e-bahaar Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kali GhaTa Kab Aaegi Fasl-e-bahaar Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کالی گھٹا کب آئے گی فصل بہار میں

سردار گینڈا سنگھ مشرقی

کالی گھٹا کب آئے گی فصل بہار میں

آنکھیں سفید ہو گئیں اس انتظار میں

کیوں کر قرار آئے دل بے قرار میں

تم پورے کب اترتے ہو قول و قرار میں

تاریک دشت ہو گیا آنکھوں میں قیس کی

پنہاں ہوا جو ناقۂ لیلیٰ غبار میں

آئے کبھی نہ پھر تجھے سیر چمن میں لطف

بیٹھے اگر تو آ کے دل داغدار میں

لازم نہیں کہ مرد مصیبت میں ہو ملول

خنداں ہمیشہ رہتا ہے گل خارزار میں

ہے یہ کسی کی چشم سیہ مست کا اثر

توبہ بھی لڑکھڑانے لگی ہے بہار میں

ہوتے وہاں جو داغؔ تو دلی بھی دیکھتے

اب کیا کریں گے جا کے اس اجڑے دیار میں

کیا خاک اپنے دل کو تمنائے شعر ہو

جز خار کچھ نہیں چمن روزگار میں

جز داغؔ آج بلبل ہندوستاں ہے کون

کہتے ہیں ہم پکار کے یہ سو ہزار میں

اے مشرقیؔ نصیب نہ سوئے دعا ہے یہ

کیا غم جو جاگتا ہوں شب انتظار میں

سردار گینڈا سنگھ مشرقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kali GhaTa Kab Aaegi Fasl-e-bahaar Mein

Sardar Genda Singh Mashriqi

kali ghaTa kab aaegi fasl-e-bahaar mein
aankhen safed ho gain is intizar mein

kyun kar qarar aae dil-e-be-qarar mein
tum pure kab utarte ho qaul-o-qarar mein

tarik dasht ho gaya aankhon mein qais ki
pinhan hua jo naqa-e-laila ghubar mein

aae kabhi na phir tujhe sair-e-chaman mein lutf
baiThe agar tu aa ke dil-e-dagh-dar mein

lazim nahin ki mard musibat mein ho malul
KHandan hamesha rahta hai gul KHarzar mein

hai ye kisi ki chashm-e-siyah-mast ka asar
tauba bhi laDkhaDane lagi hai bahaar mein

hote wahan jo 'dagh' to dilli bhi dekhte
ab kya karenge ja ke us ujDe dayar mein

kya KHak apne dil ko tamanna-e-sher ho
juz KHar kuchh nahin chaman-e-rozgar mein

juz 'dagh' aaj bulbul-e-hindustan hai kaun
kahte hain hum pukar ke ye sau hazar mein

ai 'mashriqi' nasib na su-e-dua hai ye
kya gham jo jagta hun shab-e-intizar mein

(336) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

More Sardar Genda Singh Mashriqi Poetry

You can read Kali GhaTa Kab Aaegi Fasl-e-bahaar Mein written by Sardar Genda Singh Mashriqi at UrduPoint. Kali GhaTa Kab Aaegi Fasl-e-bahaar Mein is one of the masterpieces written by Sardar Genda Singh Mashriqi. You can also find the complete poetry collection of Sardar Genda Singh Mashriqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sardar Genda Singh Mashriqi' above.

Kali GhaTa Kab Aaegi Fasl-e-bahaar Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kali GhaTa Kab Aaegi Fasl-e-bahaar Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.