Aasra Harf-e-dua Gham Se Mafar Hone Tak, Urdu Ghazal By Shahnaz Parveen Shazi

Aasra Harf-e-dua Gham Se Mafar Hone Tak is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shahnaz Parveen Shazi. Aasra Harf-e-dua Gham Se Mafar Hone Tak comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aasra Harf-e-dua Gham Se Mafar Hone Tak on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آسرا حرف دعا غم سے مفر ہونے تک

شہناز پروین شازی

آسرا حرف دعا غم سے مفر ہونے تک

صبر بھی چاہیے اب اس میں اثر ہونے تک

گر بقا کی ہے تمنا تو فنا کر خود کو

بیج سہتا ہے ستم کتنے شجر ہونے تک

رب کی تخلیق پہ انگشت بدنداں ہیں ملک

مرحلے دیکھ لے مٹی سے بشر ہونے تک

بخیہ گر چاک گریباں کی ہو تدبیر کوئی

ہوں تری دست نگر اپنا ہنر ہونے تک

عشق میں بر سر پیکار خرد اور جنوں

مرگ بے موت ہے اب معرکہ سر ہونے تک

وہ تری یاد کے آنسو تھے جو بہنے نہ دئے

چشم ویراں میں رکے شہر بدر ہونے تک

میں بھی بن جاؤں شب غم کوئی ننھا بچہ

جو کہ کھو جاتا ہے خوابوں میں سحر ہونے تک

تھے جگر قلب و نظر زاد سفر جب شازیؔ

خوف تنہائی تھا کیوں اذن سفر ہونے تک

شہناز پروین شازی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aasra Harf-e-dua Gham Se Mafar Hone Tak

Shahnaz Parveen Shazi

aasra harf-e-dua gham se mafar hone tak
sabr bhi chahiye ab us mein asar hone tak

gar baqa ki hai tamanna to fana kar KHud ko
bij sahta hai sitam kitne shajar hone tak

rab ki taKHliq pe angusht-ba-dandan hain malak
marhale dekh le miTTi se bashar hone tak

baKHiya-gar chaak-e-gareban ki ho tadbir koi
hun teri dast-nigar apna hunar hone tak

ishq mein bar-sar-e-paikar KHirad aur junun
marg be-maut hai ab marka sar hone tak

wo teri yaad ke aansu the jo bahne na diye
chashm viran mein ruke shahr-badar hone tak

main bhi ban jaun shab-e-gham koi nanha bachcha
jo ki kho jata hai KHwabon mein sahar hone tak

the jigar qalb-o-nazar zad-e-safar jab 'shazi'
KHauf-e-tanhai tha kyun izn-e-safar hone tak

(525) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aasra Harf-e-dua Gham Se Mafar Hone Tak written by Shahnaz Parveen Shazi at UrduPoint. Aasra Harf-e-dua Gham Se Mafar Hone Tak is one of the masterpieces written by Shahnaz Parveen Shazi. You can also find the complete poetry collection of Shahnaz Parveen Shazi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shahnaz Parveen Shazi' above.

Aasra Harf-e-dua Gham Se Mafar Hone Tak is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aasra Harf-e-dua Gham Se Mafar Hone Tak, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.