Dard Jab Sher Mein Dhal Jate Hain, Urdu Ghazal By Shareef Munawwar

Dard Jab Sher Mein Dhal Jate Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shareef Munawwar. Dard Jab Sher Mein Dhal Jate Hain comes under the Sad, Heart Broken category of Urdu Ghazal. You can read Dard Jab Sher Mein Dhal Jate Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

درد جب شعر میں ڈھل جاتے ہیں

شریف منور

درد جب شعر میں ڈھل جاتے ہیں

لفظ مفہوم بدل جاتے ہیں

گھر میں آتے ہیں بہت رات گئے

منہ اندھیرے ہی نکل جاتے ہیں

سب کو احساس کہاں ہے کہ سبھی

کچھ نہ کچھ روز بدل جاتے ہیں

وہی دریا ہیں کہ جن کے رستے

بحر کی سمت نکل جاتے ہیں

صرف صحرا ہی پہ الزام ہے کیوں

پھول گلشن میں بھی جل جاتے ہیں

لوگ چلتے ہیں منورؔ کس سمت

اور کس سمت نکل جاتے ہیں

شریف منور

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dard Jab Sher Mein Dhal Jate Hain

Shareef Munawwar

dard jab sher mein Dhal jate hain
lafz mafhum badal jate hain

ghar mein aate hain bahut raat gae
munh andhere hi nikal jate hain

sab ko ehsas kahan hai ki sabhi
kuchh-na-kuchh roz badal jate hain

wahi dariya hain ki jin ke raste
bahr ki samt nikal jate hain

sirf sahra hi pe ilzam hai kyun
phul gulshan mein bhi jal jate hain

log chalte hain 'munawwar' kis samt
aur kis samt nikal jate hain

(326) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dard Jab Sher Mein Dhal Jate Hain written by Shareef Munawwar at UrduPoint. Dard Jab Sher Mein Dhal Jate Hain is one of the masterpieces written by Shareef Munawwar. You can also find the complete poetry collection of Shareef Munawwar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shareef Munawwar' above.

Dard Jab Sher Mein Dhal Jate Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dard Jab Sher Mein Dhal Jate Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.