Haqiqat Samne Thi Aur Haqiqat Se Main Ghafil Tha, Urdu Ghazal By Shaukat Thanvi

Haqiqat Samne Thi Aur Haqiqat Se Main Ghafil Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shaukat Thanvi. Haqiqat Samne Thi Aur Haqiqat Se Main Ghafil Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Haqiqat Samne Thi Aur Haqiqat Se Main Ghafil Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

حقیقت سامنے تھی اور حقیقت سے میں غافل تھا

شوکت تھانوی

حقیقت سامنے تھی اور حقیقت سے میں غافل تھا

مرا دل تیرا جلوہ تھا ترا جلوہ مرا دل تھا

ہوا نظارہ لیکن یوں کہ نظارہ بھی مشکل تھا

جہاں تک کام کرتی تھیں نگاہیں طور حائل تھا

رہا جان تمنا بن کے جب تک جان مشکل تھا

نہ تھی مشکل تو اس کے بعد پھر کچھ بھی نہ تھا دل تھا

نظر بہکی حجاب اٹھا ہوئی اک روشنی پیدا

پھر اس کے بعد بچنا کیا سنبھلنا سخت مشکل تھا

حجاب معصیت پردہ ہی کس کے نور عرفاں کا

کہ جنت سے جدا رہ کر بھی میں جنت میں داخل تھا

بچا کر کیوں ڈبویا نا خدا نے اس سفینہ کو

انہیں موجوں میں طوفاں تھا انہیں موجوں میں ساحل تھا

سجود بندگی بیکار عجز عشق لا حاصل

یہ سچ ہے میں ترے قابل نہ تھا تو میرے قابل تھا

حقارت سے جسے ٹھکرا دیا برگشتہ شعلوں نے

وہی پروانۂ بے کس فروغ شمع محفل تھا

نشان منزل مقصود جو آغاز میں پایا

وہی صحرا بہ صحرا تھا وہی منزل بمنزل تھا

سفینہ ڈوبنے کے بعد ان باتوں سے کیا حاصل

جو دریا تھا تو دریا تھا جو ساحل تھا تو ساحل تھا

وہ میرے پاس تھا شوکتؔ تو میں نے کیوں نہیں دیکھا

جو وہ میرے مقابل تھا تو میں کس کے مقابل تھا

شوکت تھانوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Haqiqat Samne Thi Aur Haqiqat Se Main Ghafil Tha

Shaukat Thanvi

haqiqat samne thi aur haqiqat se main ghafil tha
mera dil tera jalwa tha tera jalwa mera dil tha

hua nazzara lekin yun ki nazzara bhi mushkil tha
jahan tak kaam karti thin nigahen tur hail tha

raha jaan-e-tamanna ban ke jab tak jaan-e-mushkil tha
na thi mushkil to us ke baad phir kuchh bhi na tha dil tha

nazar bahki hijab uTTha hui ek raushni paida
phir us ke baad bachna kya sambhalna saKHt mushkil tha

hijab-e-masiyat parda hi kis ke nur-e-irfan ka
ki jannat se juda rah kar bhi main jannat mein daKHil tha

bacha kar kyun Duboya na-KHuda ne is safine ko
inhin maujon mein tufan tha inhin maujon mein sahil tha

sujud-e-bandagi be-kar ijz-e-ishq la-hasil
ye sach hai main tere qabil na tha tu mere qabil tha

hiqarat se jise Thukra diya bargashta shoalon ne
wahi parwana-e-be-kas farogh-e-sham-e-mahfil tha

nishan-e-manzil-e-maqsud jo aaghaz mein paya
wahi sahra-ba-sahra tha wahi manzil-ba-manzil tha

safina Dubne ke baad in baaton se kya hasil
jo dariya tha to dariya tha jo sahil tha to sahil tha

wo mere pas tha 'shaukat' to main ne kyun nahin dekha
jo wo mere muqabil tha to main kis ke muqabil tha

(572) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Haqiqat Samne Thi Aur Haqiqat Se Main Ghafil Tha written by Shaukat Thanvi at UrduPoint. Haqiqat Samne Thi Aur Haqiqat Se Main Ghafil Tha is one of the masterpieces written by Shaukat Thanvi. You can also find the complete poetry collection of Shaukat Thanvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shaukat Thanvi' above.

Haqiqat Samne Thi Aur Haqiqat Se Main Ghafil Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Haqiqat Samne Thi Aur Haqiqat Se Main Ghafil Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.