Haalat Ke Kohna Dar-o-diwar Se Niklen, Urdu Ghazal By Shayan Quraishi

Haalat Ke Kohna Dar-o-diwar Se Niklen is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Shayan Quraishi. Haalat Ke Kohna Dar-o-diwar Se Niklen comes under the Sad, Social category of Urdu Ghazal. You can read Haalat Ke Kohna Dar-o-diwar Se Niklen on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

حالات کے کہنہ در و دیوار سے نکلیں

شایان قریشی

حالات کے کہنہ در و دیوار سے نکلیں

دنیا کو بدلنا ہے تو گھر بار سے نکلیں

ناکام صداؤں کے ہیں آسیب یہاں پر

اس دشت تمنا سے تو رفتار سے نکلیں

جن میں ہو محبت کا اخوت کا اشارہ

پیغام کچھ ایسے بھی تو اخبار سے نکلیں

دنیا بھی تو بن سکتی ہے جنت کا نمونہ

ہم اپنی انا اپنے ہی پندار سے نکلیں

جو حق و صداقت کا سبق بھول گئے ہیں

وہ کیسے بھلا وقت کے آزار سے نکلیں

ہم نے بھی بہاروں کو لہو اپنا دیا ہے

اب ہم سے ہی کہتے ہو کہ گلزار سے نکلیں

اس درجہ تغافل ہے تو ہم نے بھی یہ سوچا

امید کرم حسرت دیدار سے نکلیں

ہر ایک قدم پر ہے یہاں جان کا خطرہ

اب سوچ سمجھ کر ذرا بازار سے نکلیں

آگے ہی نکلنا ہے جو شایانؔ سے ان کو

اخلاق سے اعمال سے کردار سے نکلیں

شایان قریشی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Haalat Ke Kohna Dar-o-diwar Se Niklen

Shayan Quraishi

haalat ke kohna dar-o-diwar se niklen
duniya ko badalna hai to ghar-bar se niklen

nakaam sadaon ke hain aaseb yahan par
is dasht-e-tamanna se to raftar se niklen

jin mein ho mohabbat ka uKHuwwat ka ishaara
paigham kuchh aise bhi to aKHbar se niklen

duniya bhi to ban sakti hai jannat ka namuna
hum apni ana apne hi pindar se niklen

jo haqq-o-sadaqat ka sabaq bhul gae hain
wo kaise bhala waqt ke aazar se niklen

hum ne bhi bahaaron ko lahu apna diya hai
ab hum se hi kahte ho ki gulzar se niklen

is darja taghaful hai to hum ne bhi ye socha
ummid-e-karam hasrat-e-didar se niklen

har ek qadam par hai yahan jaan ka KHatra
ab soch samajh kar zara bazar se niklen

aage hi nikalna hai jo 'shayan' se un ko
aKHlaq se aamal se kirdar se niklen

(376) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Haalat Ke Kohna Dar-o-diwar Se Niklen written by Shayan Quraishi at UrduPoint. Haalat Ke Kohna Dar-o-diwar Se Niklen is one of the masterpieces written by Shayan Quraishi. You can also find the complete poetry collection of Shayan Quraishi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Shayan Quraishi' above.

Haalat Ke Kohna Dar-o-diwar Se Niklen is a widely read Urdu Ghazal. If you like Haalat Ke Kohna Dar-o-diwar Se Niklen, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.