Ajib Tarz-e-takallum Se Aazma Ke Mujhe, Urdu Ghazal By Iqbal Anjum

Ajib Tarz-e-takallum Se Aazma Ke Mujhe is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Iqbal Anjum. Ajib Tarz-e-takallum Se Aazma Ke Mujhe comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ajib Tarz-e-takallum Se Aazma Ke Mujhe on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عجیب طرز تکلم سے آزما کے مجھے

اقبال انجم

عجیب طرز تکلم سے آزما کے مجھے

وہ چاہتا ہے ابھی دیکھنا جھکا کے مجھے

میں دیر سے ہی سہی گھر پہنچ گیا آخر

وہ مطمئن تھا نیا راستہ دکھا کے مجھے

اک عمر میں نے جسے غور سے نہیں دیکھا

رکھا اسی نے کڑی دھوپ سے بچا کے مجھے

میں آئنہ ہوں یہ اس کو خبر نہ تھی شاید

وہ شرمسار ہوا روشنی میں لا کے مجھے

کبھی جہاں پہ ہزاروں چراغ جلتے تھے

ملا سکون وہاں اک دیا جلا کے مجھے

سرور صحن چمن سے سکوت دشت طلب

کہاں سے لائیں ہوائیں کہاں اڑا کے مجھے

اقبال انجم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ajib Tarz-e-takallum Se Aazma Ke Mujhe

Iqbal Anjum

ajib tarz-e-takallum se aazma ke mujhe
wo chahta hai abhi dekhna jhuka ke mujhe

main der se hi sahi ghar pahunch gaya aaKHir
wo mutmain tha naya rasta dikha ke mujhe

ek umr main ne jise ghaur se nahin dekha
rakha usi ne kaDi dhup se bacha ke mujhe

main aaina hun ye us ko KHabar na thi shayad
wo sharmsar hua raushni mein la ke mujhe

kabhi jahan pe hazaron charagh jalte the
mila sukun wahan ek diya jala ke mujhe

surur-e-sahn-e-chaman se sukut-e-dasht-e-talab
kahan se lain hawaen kahan uDa ke mujhe

(1225) ووٹ وصول ہوئے

You can read Ajib Tarz-e-takallum Se Aazma Ke Mujhe written by Iqbal Anjum at UrduPoint. Ajib Tarz-e-takallum Se Aazma Ke Mujhe is one of the masterpieces written by Iqbal Anjum. You can also find the complete poetry collection of Iqbal Anjum by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Iqbal Anjum' above.

Ajib Tarz-e-takallum Se Aazma Ke Mujhe is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ajib Tarz-e-takallum Se Aazma Ke Mujhe, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.