Shauq-e-dil Fikr-e-dahan Mein Hai Jo Rahbar Ki Tarah, Urdu Ghazal By Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

Shauq-e-dil Fikr-e-dahan Mein Hai Jo Rahbar Ki Tarah is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi. Shauq-e-dil Fikr-e-dahan Mein Hai Jo Rahbar Ki Tarah comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Shauq-e-dil Fikr-e-dahan Mein Hai Jo Rahbar Ki Tarah on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شوق دل فکر دہن میں ہے جو رہبر کی طرح

منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

شوق دل فکر دہن میں ہے جو رہبر کی طرح

ڈھونڈھتا ہوں چشمۂ حیواں سکندر کی طرح

میری آہوں کو عبث ہے نارسائی کا گلہ

دل میں گھر کرنا تو سیکھیں یاد دلبر کی طرح

سر سے پا تک ہے مثال گردن تسلیم خم

کس سے ہوتا ہے ادب قاتل کا خنجر کی طرح

تھا جو وقت قتل ارمان ہم آغوشی مجھے

خوں کی چھینٹیں لپٹی ہیں خنجر سے جوہر کی طرح

درد دل اٹھ اٹھ کے ڈھاتا ہے قیامت جان پر

شام ہجر عاشقاں ہے صبح محشر کی طرح

دل کو آنکھوں نے سجھائی ہیں جو راہیں عشق کی

ہر جگہ مجھ کو لیے پھرتا ہے رہبر کی طرح

یاد گیسو اک بلائے جاں ستاں ہے ہجر میں

کاٹے کھاتا ہے مرا گھر مجھ کو اژدر کی طرح

اس کو لطف درد اس کو لذت مشق جفا

دل کی عادت بگڑی ہے خوئے ستم گر کی طرح

ان کی آمد کی خبر سن کر ہجوم شوق سے

کشمکش ہے خانۂ دل میں بھرے گھر کی طرح

مثل دیوانہ پھرا کرتا ہے کیوں یہ روز و شب

آسماں کو بھی ہے کیا سودا مرے سر کی طرح

آپ کی غفلت سے ساری آرزوئیں مر گئیں

دل مرا ویران ہے اجڑے ہوئے گھر کی طرح

بن کے شبنم لاکھ ٹپکیں چشم اختر سے سرشک

روئے گا کیا آسماں اس دیدۂ تر کی طرح

ٹکڑے ٹکڑے دل جگر ہیں تیز فقروں سے حضور

آپ کی تیغ زباں چلتی ہے خنجر کی طرح

راہ میں دل نیچی نظروں سے ہوا جاتا ہے ذبح

جھک کے بھی چلتا ہے وہ قاتل تو خنجر کی طرح

شکر خالق ہے کہ بے منت میں ہوتا ہوں شہید

دل کو یاد ابروئے قاتل ہے خنجر کی طرح

توبہ توبہ کیا غضب ساقی کی غفلت نے کیا

سب کی صورت دیکھتا ہوں رند بے زر کی طرح

ہجر ساقی میں نظر آیا کہیں گر شغل مے

ڈبڈبائے دیدۂ تر چشم ساغر کی طرح

آرزوئے وصل قاتل اتنی ہے مجھ زار کو

ہوں ہمہ تن صورت آغوش خنجر کی طرح

اے نظرؔ عشق میان یار کا ہے یہ اثر

جسم لاغر جو نہاں ہے جاں کے جوہر کی طرح

منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shauq-e-dil Fikr-e-dahan Mein Hai Jo Rahbar Ki Tarah

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

shauq-e-dil fikr-e-dahan mein hai jo rahbar ki tarah
DhunDhta hun chashma-e-haiwan sikandar ki tarah

meri aahon ko abas hai na-rasai ka gila
dil mein ghar karna to sikhen yaad-e-dilbar ki tarah

sar se pa tak hai misal-e-gardan-e-taslim KHam
kis se hota hai adab qatil ka KHanjar ki tarah

tha jo waqt-e-qatl arman-e-ham-aghoshi mujhe
KHun ki chhinTen lipTi hain KHanjar se jauhar ki tarah

dard-e-dil uTh uTh ke Dhata hai qayamat jaan par
sham-e-hijr-e-ashiqan hai subh-e-mahshar ki tarah

dil ko aankhon ne sujhai hain jo rahen ishq ki
har jagah mujh ko liye phirta hai rahbar ki tarah

yaad-e-gesu ek bala-e-jaan-sitan hai hijr mein
kaTe khata hai mera ghar mujh ko azhdar ki tarah

is ko lutf-e-dard us ko lazzat-e-mashq-e-jafa
dil ki aadat bigDi hai KHu-e-sitamgar ki tarah

un ki aamad ki KHabar sun kar hujum-e-shauq se
kashmakash hai KHana-e-dil mein bhare ghar ki tarah

misl-e-diwana phira karta hai kyon ye roz-o-shab
aasman ko bhi hai kya sauda mere sar ki tarah

aap ki ghaflat se sari aarzuen mar gain
dil mera viran hai ujDe hue ghar ki tarah

ban ke shabnam lakh Tapken chashm-e-aKHtar se sarishk
roega kya aasman us dida-e-tar ki tarah

TukDe TukDe dil jigar hain tez fiqron se huzur
aap ki tegh-e-zaban chalti hai KHanjar ki tarah

rah mein dil nichi nazron se hua jata hai zabh
jhuk ke bhi chalta hai wo qatil to KHanjar ki tarah

shukr-e-KHaliq hai ki be-minnat main hota hun shahid
dil ko yaad-e-abru-e-qatil hai KHanjar ki tarah

tauba tauba kya ghazab saqi ki ghaflat ne kiya
sab ki surat dekhta hun rind-e-be-zar ki tarah

hijr-e-saqi mein nazar aaya kahin gar shaghl-e-mai
DabDabae dida-e-tar chashm-e-saghar ki tarah

aarzu-e-wasl-e-qatil itni hai mujh zar ko
hun hama-tan surat-e-aghosh KHanjar ki tarah

ai 'nazar' ishq-e-miyan-e-yar ka hai ye asar
jism-e-laghar jo nihan hai jaan ke jauhar ki tarah

(472) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

More Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Poetry

تم ایسے بے خبر بھی شاذ ہوں گے اس زمانے میں (ردیف .. ا)

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Tum Aise Be-khabar Bhi Shaz Honge Is Zamane Mein

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

فکر مآل تھی نہ غم روزگار تھا

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Fikr-e-maal Thi Na Gham-e-rozgar Tha

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

مجسم داغ حسرت ہوں سراپا نقش عبرت کا

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Mujassam Dagh-e-hasrat Hun Sarapa Naqsh-e-ibrat Ka

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

ہجر میں ناشاد دنیا سے دل مضطر گیا

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Hijr Mein Nashad Duniya Se Dil-e-muztar Gaya

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

کیوں کہتے ہو کیا میری جفا کو نہیں دیکھا

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Kyun Kahte Ho Kya Meri Jafa Ko Nahin Dekha

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

کچھ خوشی سے ہمیں عشق ستم ایجاد نہیں

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Kuchh Khushi Se Hamin Ishq-e-sitam-ijad Nahin

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

وہ تغافل کو علاج غم پنہاں سمجھا

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Wo Taghaful Ko Ilaj-e-gham-e-pinhan Samjha

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

بعد مدت جو میں اے چرخ کہن یاد آیا

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Baad Muddat Jo Main Ai Charkh-e-kuhan Yaad Aaya

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

You can read Shauq-e-dil Fikr-e-dahan Mein Hai Jo Rahbar Ki Tarah written by Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi at UrduPoint. Shauq-e-dil Fikr-e-dahan Mein Hai Jo Rahbar Ki Tarah is one of the masterpieces written by Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi' above.

Shauq-e-dil Fikr-e-dahan Mein Hai Jo Rahbar Ki Tarah is a widely read Urdu Ghazal. If you like Shauq-e-dil Fikr-e-dahan Mein Hai Jo Rahbar Ki Tarah, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.