Naqsh-e-faryaadi, Urdu Nazam By Daur Afridi

Naqsh-e-faryaadi is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Daur Afridi. Naqsh-e-faryaadi comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Naqsh-e-faryaadi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نقش فریادی

دور آفریدی

وائے ناداریاں ہائے مجبوریاں

رسم و آداب کے بس میں ہے زندگی

غیر کی ہو کے پردیس جاتی ہو تم

حسرت و یاس و حرماں میں ڈوبی ہوئی

جیسے شاداب سی جھیل میں اک کنول

چڑھتے سورج کی تیزی سے کملائے ہے

یا بہ عہد بہاراں کسی اک سبب

جیسے پھولوں سے رنگت اتر جائے ہے

ہر سہیلی تبسم بہ لب ہے مگر

تم ہی مغموم ہو تم ہی خاموش ہو

جیسے گلچیں کا سارے چمن زار میں

اک کلی پر ہی کچھ ظلم ہو دوش ہو

خامشی صد زبان و بیاں کی طرح

اپنی دنیا کے دکھ درد کہتی ہوئی

پھر بھی اپنوں سے بے گانگی سی لیے

وقت کی دھار پر ناؤ بہتی ہوئی

وہ اداسی کہ حوروں کو افسوس ہو

ہوں فرشتے بھی ایسی فضا میں خجل

اور کس کس کو اے دورؔ الزام دوں

کچھ پسیجا تو ہوگا خدا کا بھی دل

دور آفریدی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Naqsh-e-faryaadi

Daur Afridi

wae nadariyan hae majburiyan
rasm-o-adab ke bas mein hai zindagi
ghair ki ho ke pardes jati ho tum
hasrat-o-yas-o-hirman mein Dubi hui

jaise shadab si jhil mein ek kanwal
chaDhte suraj ki tezi se kumlae hai
ya ba-ahd-e-bahaaran kisi ek sabab
jaise phulon se rangat utar jae hai

har saheli tabassum-ba-lab hai magar
tum hi maghmum ho tum hi KHamosh ho
jaise gulchin ka sare chaman-zar mein
ek kali par hi kuchh zulm ho dosh ho

KHamushi sad zaban-o-bayan ki tarah
apni duniya ke dukh dard kahti hui
phir bhi apnon se begangi si liye
waqt ki dhaar par naw bahti hui

wo udasi ki huron ko afsos ho
hon farishte bhi aisi faza mein KHajil
aur kis kis ko ai 'daur' ilzam dun
kuchh pasija to hoga KHuda ka bhi dil

(969) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Naqsh-e-faryaadi written by Daur Afridi at UrduPoint. Naqsh-e-faryaadi is one of the masterpieces written by Daur Afridi. You can also find the complete poetry collection of Daur Afridi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Daur Afridi' above.

Naqsh-e-faryaadi is a widely read Urdu Nazam. If you like Naqsh-e-faryaadi, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.